Social Icons

Showing posts with label Saghir Saddiqui. Show all posts
Showing posts with label Saghir Saddiqui. Show all posts

Sunday 5 April 2015

umeed ke moti arzan hain darwesh ki jholi khali hai


umeed ke moti arzan hain darwesh ki jholi khali hai
phoolon ke mehekte daman hain darwesh ki jholi khali hai

ehsas sifati pathar hai , iman sulagti dhoni hai
be rang mizaj doran hain . derwesh ki jholi khali hai

benoor murawat ki ankhain . be kef anayat ke jazbe'
har simat badalte unwan hain darwesh ki jholi khali hai

gudrri ke phatkey tukre saghar , ajsam takhayal kia dhanpain
faryaad ke nuqte heeran hain darwesh ki jholi khali hai

Hum Banainge Yahan Saghir Nai Tasweer e Shouq

Hum Banainge Yahan Saghir Nai Tasweer e Shouq
Hum Takhiyol Ke Mujaddid Hum Tasawar Ke Imam

Aaj roothe hue sajan ko bohot yaad kia

Aaj roothe hue sajan ko bohot yaad kia
apne ujre hue gulshan ko bohot yaad kia

jab kabhi gardish e taqdeer ne gera hai muje
gesu e yaar ki uljhan ko bohot yaad kia

shama ki jot pa jalte hue parwano ne
ik tere shola e daman ko bohot yaad kia

jis ke mathe pa nai subh ka jhoomar hoga
hum ne us waqat ki dulhan kobohot yaad kia

aaj toote hue sapno ki bohot yaad aai
aaj beete hue sawan ko bohot yaad kia

ham sar e toor bhi mayoos tajali hee rahe
is dar e yaar ki chilman ko bohot yaad kia

mutmain ho hee gaye dam o qafas main saghir
hum aseero ne nasheeman ko bohot yaad kia

ashk rawan nai nidamat ke phool hain

ashk rawan nai nidamat ke phool hain
roothe hue bahar se rehmat ke phool hain

hain dagh haye dil ki shabahat lie hue
shayad yahi wo bagh muhabbat ke phool hain

dasne lagi han shakh e tamana ke konplain
ruswaion ke khar masheeat ke phool hain

raqsan hain rang rang khiaban zindagi
panhan kahanion main haqeeqat ke phool hain

dewangah ka kul saqi se mangiye
wahshat ki wadion main farasat ke phool hain

kehte hue sune han sukhan ashna e waqat
Saghir ke sher e bazam latafat ke phool hain

kabhi hum bhi sher kaha karte the

Baat pholon ki suna karte the
kabhi hum bhi sher kaha karte the

mashalin le ke tumare gham ki
hum andhero ma chala karte the

ab kahan aaisi tabehat wale
chot kha kar jo dua kerte the

tark e ehsas e muhaabat mushkil
han magar ehl e wafa karte the

bikhri bikhri hui zulfaon wale
qaafle rok lia karte the

aaj gulshan main shagofe Saghir
shikwa bad e saba karte the

In baharon pa gulistan pe hansi aai hai

In baharon pa gulistan pe hansi aai hai
dil ke har dag e frozan pa hansi aai hai

aaj phir jaam tahi or ghata uthi hai
aaj phir rehmat e yazdan pa hansi aai hai

meri beeghi hui palkon ki cham cham pa na jaa
tere toote hue peman pa hansi aai hai

jab kabhi bichra hua dost mila hi muje
muj ko ikhlas e azizan pa hansi aai hai

muj ko aik zeher ka chalka hua saghir dedo
muj ko is dore ke insan pa hansi aai hai

Saturday 4 April 2015

Aik wada hai jo kisi ka wafa nai hota

Aik wada hai jo kisi ka wafa nai hota
warna in taro bari raton main kia nai hota

ji me ata hai ulat dain unke chere se naqab
hosla karte hain magar hosla nai hota

shama jis ki abro pa jan dede jhom kar
wo patanga jal to jata hai fana nai hota

ab to muddat se rah o rasam nizara band hai
ab to inka toor par bhi samna nai hota

har bikari paa nai sakta muqam e khawjgi
har kas o naqis ko tera gham ata nai hota

bar-ha daikha hai saghir rehguzar e ishq main
karwan ke sath aksar rehnuma nai hota

awargi barang tamasha buri nai | Saghir Saddiqui

awargi barang tamasha buri nai
zoq e nazar mile to ye dunia buri nai

kehte hain teri zulaf e preshan ko zindagi
aye dost ! zindagi ki tamana buri nahi

hai nakhuda ka meri tabahi se wasta
main janta hoon niat e daria buri nai

zoq e janoon ke sath hai bedari e khrd
shabnam ke sath garmi e shula buri nai

is rahzan hayyat zamane se door chal
mar bhi gaye to chadar e sehra buri nai 

saghir ke sath chal ke kabhi mekade main sun
itni hadees bada o saghir buri nai

aye dost yahan weerano ko gulzar samjna parta hai

aye dost yahan weerano ko gulzar samjna parta hai
kuch oonchi neechi raho ko hamwar samjna parta hai

ehsas ke ulte paon se jab chalte chalte thak jain
to rahguzar ko aye rahi dewar samjna parta hai

majrooh maheeshat ke hathon insan ka abb yeh aalam hai
har zakhan lagane wale ko ghamkhar samjna parta hai

jab shahi qabaho ki khatir kuch jisam barhina ho jain
us waqat ke gulamo ko saghir mukhtar samjna parta hai

alam ki yourish main bhi khor sand rahe hain

alam ki yourish main bhi khor sand rahe hain
nerangi , halat ke paband rahe hain

aafaq main goonji hain meri shola nawai
nale mere iflak ke pewand rahe hain

dali hain tere khak nasheeno ne kamandain
har chan mahalat ke dar band rahe hain

har dor main daikha hai meri fikar chand rasa ne
kuj log zamane ke khudawand rahe hain

Saghir na mili manzil e maqsood khird ko
han qafila salar e janoon mand rahe hain

 
 
Blogger Templates