Social Icons

Showing posts with label Quotes. Show all posts
Showing posts with label Quotes. Show all posts

Tuesday, 19 May 2015

Zulfiqar Ali Bhutto Quotes | Urdu saying of Zulfiqar Ali Bhutto


Zulfiqar Ali Bhutto was founder of Pakistan People Party.He become Prime Minister of Pakistan in 1970, Present constitution of Pakistan is given by Him in 1973
  1. kisi mulk ki kharja policy is ki dakhli palision or qoumi mafad par tashkeel pati hai or kharja palisian dakhli halat par hamesha asar andaz hoti hain
  2. hamain aisi imdad ki zaroorat nai jo hamain qoumi mafad se be khabar bana de
  3. awam ki awaz pa kaan dharo , awam ki awaz Allah ki awaz hai
  4. dunia ki koi taqat gurbat, aflas or jahalt ke khilaf jadojehed nai rok sakti
  5. jamhooriat waqei koi hathi nai yeh taza hawa ke jhonke kee tarha hai
  6. qawat ka sar chishma awam hain 
  7. siasat main afham o tafheem se kam nikalta hai

Mohammad Ayub Khan Urdu Quotes



  1. hamain is bat ki ijazat nai deni chieye ke glat fehmian ,waswasey ,shakook o shobat hum main phoot dalian.sab se barr kar hamain yeh seekhna hai ke aik doosre ke jazbat or ehsasat ka ehtiram karain
  2. nazriati ikhtalafat ko talkhi or tashadud main nai dhalna chieye
  3. mashriq main woi jamhooriat kamyab ho sakti hai jo bara e rasat awam se tahaluq rakhti ho jise awam samjain or amal main lain
  4. hamari mehnat or isar hamari ainda naslon ki purwaqar azadi zindagi diantdari or maqsadiat ke pesh khema ho sakti hai
  5. qoumo ka difah aslah se nai balke jazba e iman se hota hai

Monday, 18 May 2015

Best Words From My Diary

Shaikh sadi kehte hain ke tahajub hai ke Allah apni sari makhlooq main se muje nai bhoolta magar mera to aik hee Allah hai jab ke main usko bhool jata hoon
agar andhere main saya sath chor deta hia to zayada roshni main bhi sath nai deta

faraq bus itna hai ameeri main hum logo ko chor dete hain or ghreebi main log hamain chor dete hain

Tuesday, 21 April 2015

Hassan Basri Ka waqiya | Urdu Aqwal E Zareen

"Hazrat Hassan Basri
(R.A) bht baray bazurg guzray hain.
Kisi ne un se kaha:
Mainey suna hay jo Gunahgar hotay hain
un se Allah apni nemtain cheen leta hay.
Koi gunah aisa nahi jo mainey na kia ho
phir bhi mere pass her nemat hay.
Achi aulaad

Sunday, 19 April 2015

Aisay Logon Ki Zaroor Madad Karo Imam E Hussain Quotes



Aisay Logon Ki Zaroor Madad Karo Jin Ka Chehra Sawaal....!!
Aur Zuban Be-Sawaal Hoti Hai....!!

HAZRAT IMAM HUSSAIN (R.A.)


Friday, 10 April 2015

Life has no pause buttons,Life has no pause buttons,

Life has no pause buttons,
Dreams have no expiry date,
Time has no holiday,
So,
Don't waste even a single moment in ur life,
&
Live the best.

Our greatest weakness lies in giving up.

Our greatest weakness lies in giving up.
 The most certain way to succeed 
is always to try just 
one more time.

"ACCHY DOST" Best Friendship Relations

"ACCHY DOST"
"Hath" or "Aankh" ki tarha hoty hain.
Jab "Hath"ko
Taqleef hoti ha
To "ankh" roti ha.
Or
jab "Ankh" Roti ha
To
"Hath" Ansoo ponch leta Hai...

Best Quotes of Ashfaq Ahmad


Tuesday, 7 April 2015

Don't Let Anyone Get To You..!!

Don't Let Anyone Get To You..!!

You're Beautiful Regarless Of What Anyone Says To You..!!

I Know Lots Of People Hate Me Because

I Know Lots Of People Hate Me Because I Am Not Too Good..!!

But..!!

Few People Surely Love Me Because They Know That My Little Goodness Is Not Fake..!!

Monday, 6 April 2015

Sikandar e azam or faqeer

Sikandar-e-Azam ki Mulaqat EK Jang K Doran Ek Faqeer Se Huwi.

Faqeer :
Ye jang jeetne k Baad Aap kia kro gay ?

Siknadar :
Ek aur jang laroon ga.

Faqeer :
Uss k Baad ?

Sikandar:
Phir Ek jang aur laroon ga.

Faqeer :
Aap poori dunya fatah kar lo uss k baad ?

Sikandar :
Phir araam se Zindagi guzaroon Ga.

Faqeer :
Woh To Main Bina jang laray bhi Guzaar Raha Hoon.
Bus Ek jang larri
"Apny Nafs Say"

Saturday, 4 April 2015

Chaudhry Afzal Haq | Aqwal E Zareen Chaudhry Afzal Haq

  1. Chaudhry Afzal Haq


  1. khuda hamare wehem ki takhleeq nai buleke iske siwa sab kuj wehem hai
  2. zubanin bhi mazhab ki tarha siasat ke saya main barti hain or phoolti hain
  3. sachai main phelne ki qabliat hai magar phir bhi phelane walo ki zaroorat hai
  4. betab rooh sachi tarap rakhne wala dil peda karo jo tumari khawabeda qawaton ko bedar ker de or tumare ird gird neend ke maro ko hoshiar kar de
  5. khoob kamao magr khud purtakaluf khane ke lie nai bulke doosro ko khilane ke lie

Khushal Khan Khattak Quotes | Urdu Quotes Of Khushal Khan Khattak


    Khushal Khan Khattak Quotes | Urdu Quotes Of Khushal Khan Khattak

  1. aik gerat mand insan ke dunia main do hee kam hai ya to wo kamran hota hai ya apna sar qurban karta hai
  2. jahanum ki aag ko woi anso buj asakte hain jo waqat seher aik momin ki aankh se tapkain
  3. namrd nasabb pa naz karta hai or mard apne jahan e no ki takhleeq par
  4. kitna nadan hi wo shakhas jo apne khoobio pa nazan ho
  5. muje insan ki azadi be fikri or khushi pa rakhak ata hai jo na zarr rakhta ahi or na zameen
  6. insan ka kamal to yeh hi ke wo rah do barq bhi ho or toofan bhi

Dr Abdul Haq Quotes | Baba E Urdu Abdul Haq Aqwal E Zareen


Dr Abdul Haq Quotes | Baba E Urdu Abdul Haq Aqwal E Zareen


  1. adab mai nia purana koi cheez nai jis kalam main tazgi ho jiddat ho or khaialalt ki gerai ho wo hamesha nia hai go wo 2000 sal pehle likha hua ku na ho or jis main ye nai wo purana hi go wo aaj hee ki tasneef ho
  2. lafaz aik jadoo hota hai jo be mehel istimal se pheeka par jata hai
  3. jo shakhas ya qoum kam karne se jii churae use kabhi kamiabi or azadi hasil nai ho sakti kahil or kam chor ke naseeb main gulami likhi hui hai
  4. mahol ka insan ke muqaddar main bohot dakhal hai aik nasazgar mahole baaz awqat ala se ala dimaghi sifat ko zaya kar deta hi agar koi maqool sohbat yaa mahole mil gaya or salaiat bhi hui to admi taraqi ke ujj pa pohnch jata hai

Khalil Gibran Quotes | Urdu Aqwal Khalil Gibran



Khalil Gibran Quotes

  • is qoum ki halat kis qadar qabil e rehem hai jo aik seena zor shakhas ko apna heero banati hai or bazahir shandar fatih ko faiz rasan tasawr karti hai
  • tumari  shadmani darasal tumara gam hai jise be naqab kar dia gaia hai
  • falsafi ko rooh iske damag main noti hai shair ki iske dil main laikin raqasa ki rooh iski roohain ,roohain se tharakti hain
  • log muje pagal samjte hain ke main inki zindagi dirahm deenar ke badle nai bechta main logo ki pagal samjta hoon is lie wo muje diram deenar ke badle bik jane wali cheez samjte hian

Thursday, 2 April 2015

Abul Kalam Azad Quotes | Aqwal E Zareen Abul Kalam Azad

Abul Kalam Azad Quotes | Aqwal E Zareen Abul Kalam Azad


  • insan ki sabse barri aqalmandi ibrat bazeeri hai magar sabse bari galti gaflat or aghmaz hai
  • alim e taqdeer khamosh nai hai wo aik imam e natiq hai isne majmoi tor par tamam alam ki qismat ka faisla azal hee main kar dia tha laikin ashkhas o aqwam ke taqdeer kak faisla hamesha hota reta hai
  • agar sachai ko iski asal zaroorat ke waqat paish na kiya jae to us ke wajood ka itraf bekar hai or charagh jalane ka asli waqat garoob aftab ke bad ata ai ne ke pichle peher
  • gulami ke chae kese haseen na ku na rakhe jain gulami beher hall gulami hai 
  • drakhat sab bote hain laikin har shakhas ke naseeb main yeh nai hota ke phal bhi khae wo mubarak hath hai jo takham pash ke bad hee apne ddaman mai iske phalon ko bhi daikhe
  • dilo ki aqleem mian minton or lamhon ke ander inqalab ajata hai or iske inqalab se is dunia ke inqalab wabasta hain
  • zuban ki pukar zaya ja sakti hai par amal ki sada kabhi jawab lie bagair nai reti
  • insani ana ka kamal ye hia ke wo khuda se mushaba ho jey
  • hussan, khusboo, naghma or zeb o araish alag alag nam hain laikin haqeeqat siraf aik hee naqhma hai yaani adal o aitidal

Hakeem Amin Dola Quotes | Aqwal e Zareen By Hakeem Amin Dola

Hakeem Amin Dola Quotes | Aqwal e Zareen By Hakeem Amin Dola

  • kabhi is bat ko na bhoolo ke jitne amraz kitabo main likhe hain bass inke siwa koi ior bemari nai ku ke bohot se amraz bala e asmani ban kar nazil hote hain'
  • agar badan main koi aisa kanta cahuba ho jo adha gosht main garr gaya ho or nisaf abhi bahir hoto khayal na karna chie ke tum isko nikal hee loge mumkin hi ke wo toot jae or baqi hissa bagair nashtar lagae nikal na sake
  • libas is qisam ka pehena chey ke jahil daikh kar hasad na karain or ala tabqa tum ko haqeer na samje

Molana Modoodi Quotes | Aqwal E Zareen Molana Modoodi



  • jo insan khuda ki bakhshi hui doalat main se khuda ke bando ka haq ada nai nikalta iska mal napak hai or mal se sath iska nafas b napak hai
  • Islam dolat ki masawana taqseem ka qail nai bulke munsifana taqseem ka qail hai
  • phoos ke pholo ka anbar khawa kitna hee bara ho kabhi qila nai ban skta
  • medano ke muqable main jii churana or qilon ke peeche chupna buzdili hai
  • anjam ka faraq aghaz ke faraq ka nateeja hai
  • qawat hee haq hai or kisi qoum ke lie iski apni taqat ke siwa iske haqq ki hifazat ka koi zareeha nai

Fatima Jinnah Quotes | Urdu Quotes Fatima Jinnah

Fatima Jinnah Quotes | Urdu Quotes Fatima Jinnah



  • buzdil bar bar marte hain or bahadur ko siraf aik bar mout ati hai
  • jab tak har shakhas apna fareeza ada karne ka azam na kre qoum kabhi taraqi nai kar sakti
  • azadi ki hifazat qwaneen se nai jazba amal o isar se hoti hai
  • usoolo pa kabhi mafaimat na karain jin logo ne azmat or barai hasil ki hai unho ne usoolo pa sakhti se amal kiya apne maqsad ke lie sab kuj qurban kiya 
  • insani rooh azadi e rae ke lie bechen rehti hai or masawi fawaid bhi kabhi azadi ka nehem ul badal nai ho sakte
 
 
Blogger Templates