Hazrat ALI RA Quotes - Hazrat Ali Aqwal E Zaree
- khanda peshani se paish ana sabse barri naiki hai
- karkhana e qudrat main fikar karna bhi naiki hai
- aqeeda main shak rakhna shirak ke barabar hai
- be moqa haya bhi bahis e mehreoomi hai , qabile sohbat log bhot kam hain
- adab betreen kamalat or kherat afzal tareen ibadat main se hai
- mout aik bekhabar sathi hai
- zamana ke pal pal ke ander aafaat posheeda hain
- ibadat pa ghalib ana kamal e fazeelat hai
- aqalmand apne ap ko past karke izzat kamata hai or nadan apne aap ko buland karke zillat leta hai
- dosti aik khud peda kerda rishta hai
- gunaho pa nadim hona inko mita deta hai or naiki pa groor karna inkko barbad kardeta hai
- kkhawaish parasti halak kardene wala sathi hai or buri ibadat aik zor awar dushman hai
- aqalmand hamesha gor o fikar mai mubtala reta hai
- bekari main isq-bazi yad ajati hai
- sakhawat ke sath ehsan rakhna nayahat kameengi hai
- fasiq ki burai bayan karna gheebat nai
- aadmi ki qabliat zuban ke neeche poosheeda hai
- mafi mihayat acha intiqam hai
- hoshyari iska nam hai ke insan apne tajurbe ko mehfoooz rakhe or iske mutabiq kam kare
- sachai main khof hai magar bahis e nijahat hai , jhoot main go itminaan hai magar bahis e hilakat hai
- beqarari banisbat sabar zayada takleef de hai
- greeb wo hai jis ka koi dost na ho
- tajarbe kabhi khatam nai hote aqalmand wo hai jo unmain taraqi karta hai
- jaldi se maaf karna bhot sharafat or intiqam main jaldi bhot razalat hi
- shreef ki pehchan ye hai ke jab koi sakti kare to sakhto se paish ata hai or jab narmi kre to narmi se paish ata hai
- ulama islie greeb o brkas hai ke jahil log zayada hai jo inki qadar nai karte
- qarar e juram mujrim ke lieye acha sifarish hai
- aqalmand ahar khamosh rahe tto qudrat ilahi main fikar karta hai or jab nigah utha kar daikhta hai to ibrat hasil karta hai
- insan jo halat apne lieye pasand karta hai isi main reta hai
- bura admi kisi ke bare main acha guman nai karta ku ke wo har aik ko apne jesa khayal karta hai
- admi agar ajiz ho or naikkam karta ho to isse acha hai ke qawi ho or bure kam kare
- haram kam se nafas ko rokna bhi sabar ki aik qisam hai
- jald baz admi aksar apne kieye pe nadim hota hai agar nadim na ho to samaj lo ke iska janoon mustahikam hogaya
- jiske dil mai jittni hiras zayada hoti hai usko Allah pa utna yaqeen kam hota hai
- dunia aik murdar hai jo log iske badolat apas main bahi bante hain inko bahi bandi iske lalich main aik doosre har hamla karne se manih nai hpti
- har admi ki raey iske zati tajarbe ki mutabiq hua karti hai
- apne dilo se dosti ka hal poocho ku ke ye aise log hain jo kisi se rishwat nai lete
- jab tak koi bat tere muh main hai tu iska malik hai or jab nikal gai wo teri malik hai
- jo log tuj se zayada ilamm rakhte hain inse ilam hasil kar or jo kam ilam hain inko sika
- agar tu kisi ke sath ehsan kare to usko mukhfi rakh or agar koi tere saath kare to usko zahir kar
- jo shakhas bundo ke haqooq ada karega wo khuda ke bhi haqooq ada kare ga
- agar ehle dunia ko poori aqal hasil hoti to dunia ke karobar or isko mojooda halat main zaroor khalal aajata
- kabhi achanak sab kam theek ho jate hai or kabhi talabgar nakam rete hain
- haya ki gayat yeh hai ke admi apne aap se haya kare
- jo khud apne ap ko gumrah kre doosra kese usko rah pa lla sakta hai
- ahmaq ki aqal iski zuban ke peeche or aqalmand ki zunab iski aqal ke peeche hoti hai
- kahawtain or misalain aqalmando or ibrat hasil karne walo ke lieye bayan ki jati hain nadano keo inse koi faida nai hota
- jo koi haq ke khilaf larta hai to Allah khud uske khilaf larta hai
- jo apne dushman ke qareeb reta hai to iska jisam gham se ghul kar lagir hojata hai
- jo koi zayada nakhush reta hai uski khunoodi or razamandi maloon nai hosaktai '
- jo apne har aik kam ko pasand karta hai iski aqal main nuqsan ajata hai
- jiski umeedain choti hoti hain uske kam; bhi drust hotee hain
- jo jaldi har bat ka jawab dedeta hai wo har aik bat ka jawab theek nai de pata
- jo shakhs tajarbon se beparwai ikhtiar karta hai wo anjam kam ke sochne se andha ho jata hai
- jo apne raz mehfooz rakhne se ajiz hojata hai wo doosron ka raz mehfooz rakhne se ajiz hojatahai
- jis ke apne khayalat kharab hote hain ismain doosro ki be-nisbat badzani zayada hoti hai
- jo apni qadar aap nai karta doosre uski qadar nai kerte
- jo kisi ke ehsan ka shukar guzar nai wo ainda zaroor isse mehroom ho jata hai
- jo shakhas gunah se pak ho wo dilair hota hai or jo aibdar ho wo buzdil hota hai
- jo kal ko apne mout ka din samajta hai mout ane pa usko koi takleef nai hoti
- jo kam ligo ke samne karna munsib nai zaroori hai isko chup kar bhi na kiya jae
- jis ka ilam iski aqal se zayada ho jata hai wo iske lieye wabal hojata hai
- dunia daro ki dosti aik mamoli si bat se door hojati hai
- shreer aurto se bilkul barkanar raho, jo bhali mans hon unse bhi hoshyar raho
- logo ke samne naseehat karna aik qisak ki malamat hai
- tangdast admi jo rishta daro se maill-malap rakhe is maldar se acha hi jo inse qata-tahaluq ho
- deen ki drusti dunia ke nuqsan se hasil hoti hai
- jab tak kisi se bat na karlo usko haqeer na samjo
- agarcha koi qadar shanas na mile to tu apni naiki ko band na kar'
- sahib e ilam agar gaqeer halat mai ho is ko zaleel na samjo . bewaqoof agar barrre rutbe paho ise bara khayal na kar
- kisi doosre ke girne pa khushi matt kiya kar kiya khabar kal tere sath kia hoga?
- kalam karne se kai aftain ati hain , mutakalim ko waqat or moqa ka pass zaroori hai
- agar kisi se tuje zaleel samja to agar tuje aqal hai to usne tuje faida pohanchaya
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin