Social Icons

Showing posts with label Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Ghazals. Show all posts

Tuesday 19 May 2015

Jo mosam beet jata hai dobara kyon nahin ata

Jo mosam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Saturday 16 May 2015

hasti ka aitbar kiey bin raha na jaye

hasti ka aitbar kiey bin raha na jaye
dunia hai yeh, yaha pe jieye bin raha na jaye

kat'ti nai yeh zindagi umeed ke bagair
yeh jam wo hai jis ke pieye bin raha na jaye

chahat ka zakham dil ko tamasha bana na de
aisa hai chaak jis ko sieye bin raha na jaye

dunia ke is fashar main hai uski yaad youn
aandhi ho taiz or dieye bin raha na jaye

ik simat tera hukam hai ik simat kainat
yeh boj apne sar lieye bin raha na jaye

Sunday 19 April 2015

Kuch din sy tery saath, koi baat nahi hy


 Kuch din sy tery saath, koi baat nahi hy

Yun lagta hy sadiyoon sy, mulaqat nahi hy....!!
.

Dukh dard sunaao mujhy, har baat bataao.

Ye dil ki khawahish hy, meri baat nahi hy

Jab yaad teri aaye to, aa jaaty hen aansu.....!!
.

Men kesy kahoon, aankh men barsaat nahi hy....!!

Sookhy huye kuch phool hen, aur ashak hen tazaa..

Kuch aur mery paas to, saughat nahi hy..

Waqif hy mery dard sy, sub'ha ka ujalaa..

La'ilm mery gham sy, meri raat nahi hy..
.
Men jiss ki muhabbat men, yun be'haal hon Mohsin..

Wo hanss k ye kehta hy, koi baat nai hy.

Tuesday 14 April 2015

Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise

Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise
Sath Chal Mauj E Saba Ho Jaise

Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Barha
Yun Na Mil Hum Se Khuda Ho Jaise

Maut B Aai To Is Naaz K Sath
Mujh Pe Ehsan Kiya Ho Jaise

Aise Anjan Bane Baithe Ho
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise

Hichkiyan Rat Ko Ati Hi Rahin
Tu Ne Phir Yad Kiya Ho Jaise

Zindagi Beet Rahi Hai Danish
Ek Be Jurm Sazaa Ho Jaise...

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha
Khabar Nahi Ke Sooruj Kidhar Se Nikla Tha

Ye Kon Phir Se Mujhy Raston Main Chor Gaya
Abhi Abhi To Azaab-E-Safar Se Nikla Nikla Tha

Ye Teer Dil Main Magar Be Sabab Nahi Utra
Koi To Hurf Lub-E-Charagar Se Nikla Tha

Men Raat Toot Kar Roya To Chain Se Soya
Ke Dil Ka Zahar Meri Chusm-E-Tar Se Nikla Tha

Wo Qais Ab Jisay Majnoo Pokarty Hen Log
Meri Terha Koi Deewana Ghar Se Nikla Tha

Kabhi Barish Barasti Hai

Kabhi Barish Barasti Hai
To Mujko Yaad Aata Hai
Wo Aksar Mujh Se Kehta Tha
Mohabbat Aik Barish Hai!!
Sbhi Pe Jo Barasti Hai..
Magr Phir Bhi Nahi Hoti
Sbhi K Waastay Yaksaan..
Kisi K Waastay Rahat..
Kisi K Waastay Rahat..
Main Aksar Sochta Hoon Ab
Wo Mujh Se Theek Kehta Tha
Mohabbat Aik Barish Hai!!
Sbhi Pe Jo Barasti Hai..
Kbhi Mujh Pe Bhi Barsi Thi..
Magr Mery Liye Barish?
KbhiNa Ban Saki Rahat..
Ye Rahat Kyun Nahi Banti?
Kbhi Main Khud Se Pochon To?
Ye Dil Deta Duhai Hai
Kbhi Kachay Makanon Ko Bhi

Monday 13 April 2015

Tune Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad


Tune Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad
Kitane Chup-Chaap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad

Itne Chup-Chaap Ke Raste Bhi Raheinge Laa-Ilm
Chor Jaayeinge Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad

Main Ne Aise Hi Gunaah Teri Judai Mein Kiye
Jaise Tufaan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad

Sham Se Pahle Vo Mast Apni Uraanon Mein Raha
Jis Ke Hathon Mein The Tote Hue Par Shaam Ke Baad

Raat Biti To Gine Aable Aur Phir Socha
Kaun Tha Baa_Is-E-Aaghaz-E-Safar Sham Ke Baad

Tu Hai Sooraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Sham Ke Baad

Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Aavara Mizaaj
Khol Rakhte Hain Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad.

Bad Mast Ho Ke Aye Nigha E Naaz Dekhna.


Bad Mast Ho Ke Aye Nigha E Naaz Dekhna.
Phir Meri Larzishon Ka Bhey Andaaz Dekhna.

Tark E Nayaaz O Shouq Ka Ejaaaz Dekhna.
Sooni Pari Hy Anjuman E Naaz Dekhna.

In K Hareem Naaz K Pardo,N Ko Chhu Lya.
Meri Nazar Ke Jurat E Aagaz Dekhna.

Khud Ban Gya Sako,N , Josh E Iztarab.
Ghabra K Kis Nay Di Mujhy Awaaz Dekhna.

Yu,N Dekhti Hy Jesay Nazar Dekhti Na Ho.
Zalim K Dekhnay Ka Ye Andaaz Dekhna.

Wo Sahilon Pe Gane Wale Kya Huey

Wo Sahilon Pe Gane Wale Kya Huey
Wo Kashtiyan Jalane Wale Kya Huey

Wo Subah Ate Ate Rah Gai Kahan
Jo Qafile The Ane Wale Kya Huey

Main Jin Ki Rah Dekhta Hun Rat Bhar
Wo Raushani Dikhane Wale Kya Huey

Ye Kaun Log Hain Mere Idhar Udhar
Wo Dosti Nibhane Wale Kya Huey

Imaraten To Jal K Rakh Ho Gain
Imaraten Banane Wale Kya Huey

Ye Ap Ham To Bojh Hain Zamin Ka
Zamin Ka Bojh Uthane Wale Kya Huey

Kuch tum se mohabat aisi thi


Kuch tum se mohabat aisi thi.
Hum batein karna bhool gaye!

Kuch or hi hum ne keh dala.
Jo kehna tha wo bhool gaye!

Hum ne to kaha tha lout aana.
Par tum to aana bhool gaye!

Huwi Rat, falak par tary thy.
Hum diya jalana bhool gaye!

Mein sahil par betha hi raha.
Tum kashti lana bhool gaye!

Ab kaisa gila main tum se karon.
Jab naseeb hi mujh ko bhool gaye!

Hum tum se khafa bethy hi rhe.
Tum hum ko mana'na bhool gaye...

Ho chuka ab kisi ka wo Kabhi meri ZINDAGI tha wo

     (GAZAL)
Ho chuka ab kisi ka wo

Kabhi meri ZINDAGI tha wo

kon bhulta hay PEHLI MUHABBAT

Meri sari khushi tha wo

Phoolon ki trha muskurata tha

Mere honton Ki hansi tha wo

Baad barson dekha tha usy

Aj b utna he haseen tha wo

Zindagi jis k naam krdi Aye dost

Afsos log kehtay hain ajnabi tha woh.                        

Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun.


Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun.

Wo JAAN h meri usy bhola kesy dun.

Apni roh me bsa k jise pyar kya tha,

Sochta hun usy ab dagha kesy dun.

Kitne khwab sjaye thy meri in ankhon ne,

Men apna hr khwab bhla jala kesy dun.

Wo roye ga to ansu mere b niklein ge,

Us ki be'wfai ki usy sza kesy dun.

Wo kehta h k us ki khushi ki dua mangon men,

Pr wo ksi or ka ho jaye usy ye dua kesy dun?
 

Friday 10 April 2015

sahiban e ilam main koi hunnar nai raha

sahiban e ilam main koi hunnar nai raha
gun'bado main gum ho gaye hain dar nai raha

jagta hoon wahshaton ke beech or khawab main
gardano pa daikhta hoon koi sar nai raha

ishq ma kami hui hai ya fiza badal gai hai
kiyoun nigah e yaar ma bhi kuch asar nai raha

hijar ke dukhon ke agahi use mili kahan
lazat e wisal se jo bakhabar nai raha

itni dare ho gai ke dil tamam jal bujha
rakh hee khreedte raho sharar nai raha

Teri nigah se dochar ho gaya hoon main

Teri nigah se dochar ho gaya hoon main
talash karta hoon khud ko ke kho gaya hoon main

karo ga samna kis muh se ehl e sahil ka
safeena beher bala main dabo gaya hoon main

baram zaroor khula hai naye tamadun ka
tumare sher se mayoos to gaya hoon main

samaj liya muje bazam e jahan ne dewana
lieye hue naye afkar jo gaya hoon main

tha kitna naaz ke main kamyaab hoon fatih
pari hai mat pa jab mat ro gaya hoon main

Adhuri Baat Hai Lekin, Mera Kehna Zaroori Hai,,

     .".GhazaL.".
Adhuri Baat Hai Lekin,
Mera Kehna Zaroori Hai,,

Ke Meri Saans Chalnay Ko,
Tera Hona Zaroori Hai,,

Ye Dil Betaab Rehta Hai,
Tera Milna Zaroori Hai,,

Nazar Meri Tarasti Hai,
Tera Jalwa Zaroori Hai,,

Agar Tu Aag Hai To Phir,
Mera Jalna Zaroori Hai,,

Agar Manzil Ko Pana Ho,
Saath Chalna Zaroori Hai,,

Zindagi Agar Adhoori Ho,
Ishq Karna Zaroori Hai,,

Agar Tu Mout Hai To Phir,
Mera Marna Zaroori Hai..........

Itna toota hon k choonay sy bikher jaon ga

   *BEST GAZAL*

Itna toota hon k choonay sy bikher jaon ga...

*Ab agar aur azmao gy to mar jaon ga,..

*Phool reh jain gy faqat guldanoon ki nazar..,

*Mein to khushboo hoon hawaoon mein bikher jaon ga,..

*Eik aarzi musafir hon mein teri kashti mein,..

*Tu jahan mujh sy kaho gy mein uter jaon ga,..

*Hath pakro gy to saya ban k sath rahon ga ""DOST,

*Hath choro gy to humesha k liye bicher jaon ga

HONTON SE KABHI HONT MILA KAR DEKHO

"HONTON SE KABHI"
         "HONT"
 "MILA KAR DEKHO"



Mujh ko apny nazdeek kabhi bula kar dekho.

Main ne suna hai lazat e lab choomny se nasha charhta hai.

Aao phir kisi shab mujhy ye jaam pila kar dekho.

Kitni muztrib har raat guzarti hai tum kiya jano.

Kabhi jismon mein lagi aag honton se jala kar dekho.

Piyas bhi bhujh jaye gi arman bhi hon ge pury.

Bas aik raat mjhy apny pas sula kar dekho.


"HONTON SE KABHI"
         "HONT"
 "MILA KAR DEKHO".

Mein apne daman mein chupa loon tujhko


.Mere_Paas Aajao
.
Mein apne daman mein chupa loon tujhko.

Dil karta hai apna bana loon tujhko.

Marr k bhi na toote ye rishta hamara.

Is tarha se apni Rooh mein sama loon tujhko.

Apni baahon mein is tarah se le lon.

K phir na baahon se nikalon tujhko.

Tere pyar ne mujhe har cheez se ghafil kar diya.

Ab dil karta hai tujhse chura lon tujhko.

Tere beghair ab "HUM" jee nahi sakty.

Mere Paas ajao ye kaesy.. ..samjhaon tujko.

Ye kaise Gawara ho, Jo shakhs Humara Ho,


Ye kaise Gawara ho,

Jo shakhs Humara Ho,

Jisay toot k chaha ho,

Jisay Dil sy Pukara ho,

Wo Bheer meiN logoN ki.

Mere hath sy niklay or..

Kisi or ki YaAdon meiN.

Kisi or ki sochon meiN,

Kisi or ki ankhon meiN,

Kisi or ki baton me,

AnjanaY sy kho jaye

Bus mujh ko bhulanaY ki
Ek zid si kr ly,

Or us zid ki khatir wo
Kisi or ka ho jaYe

Ye kesE gawara ho,

JisE dil ny pukara ho,

JisE tot k chaha ho,

Or wo naAaaa HuMara ho..
 
 
Blogger Templates