Social Icons

Showing posts with label Noshi Gilani. Show all posts
Showing posts with label Noshi Gilani. Show all posts

Friday 10 April 2015

kon rok sakta hai | Noshi Gilani,

kon rok sakta hai 
beshumar dawe hoon
usko bhool jane ke
be panah irade hoon
or us muhabbat ke tarak karke jeene ka
faisla sunane ko
kitne lafaz soche hoon
dil ko uski ahat par
barmala dharakne se kkon rok sakta hai
phir wafa ke sehra main 
us naram leje or sogowar aankhon ki
khushboo ko choone ki
justujoo main rehne se
rooh tak pigalne se'
nange paon chalne se
kon rok sakta hai
aanson ki barish main 
chaye dil ke hathon mian 
hijar ke musafir ke 
paon tak bhi choo aao
jis ko lout jana ho
usko door jane se 
rasta badalne se
door jane se 
kon rok sakta hai

Thursday 9 April 2015

tumari yaad ki dunia main din se rat karon

tumari yaad ki dunia main din se rat karon
kisi ki bat chale main tumari bat karon

tum ne keh dia ke muhabbat nai mili

tum ne keh dia ke muhabbat nai mili
muj ko to yeh bhi kehne ki mohlat nai mili

neendon ke dais jate koi khawab daikhte
laikin dia jalane se fursat nai mili


tuj ko to khare sher ke logo ka khouf tha'
or muj ko apne ghar se ijazat nai mili

phir aiktilaf e raye ki soorat nikkal parri
apni yaha kisi se bhi adat nai mili

bezar yyoun huey ke tere ehad main hamain
sab kuj mila sakoon ki dolat nai mili

Wednesday 8 April 2015

Mujhe Tum Se Muhabbat Hai by Noshi Gilani

fiza main jese koi khushboo ka raqas jaga hai
sunehri titlian phir se gulabon ke labon ko choo ke ai hain
drakhton ki khuli banhon main saye bat karte hain
udasi ashk aankhon main lieye ab door nikali

isi dhalte hue din ki manderon par
charagh  sham jalta hai
to dast e meherban jese
mere anchal ke kone se wafa ka aik lamha band deta hai
mere sehen e hunar main haraf o mahni ki tilawat sans leti hai
koi roshan sitara aasman pa muskurata hai
samander geet gata hai

kamal e ehed e masti hai
jahan par mousam e jan bhi bohot heran lagta hai
koi chehra mere dil ke badan se aan lagta hai

yahi chupke se kehta hai
"
"Mujhe Tum Se Muhabbat Hai"
"Mujhe Tum Se Muhabbat Hai"

Tuesday 7 April 2015

Tujhe Khabar Nahi Hum Dekh Kar Bauht Roye

Tujhe Khabar Nahi  Hum Dekh Kar Bauht Roye,

Nayi Kitaab Mein Tasveer Ek Puraani Teri …!

Bahut Aaraam Karna Chahti Hun

Bahut Aaraam Karna Chahti Hun,
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun.

Shaoor-e Aagahi Ek Almiaa Hai,
Isey Neelaam Karna Chahti Hun.

Main Apni Umar Ke Saare Asaasey,
Tumhaare Naam Karna Chahti Hun.

Tumhaare Kheima-e Khushbu Mein Reh Kar,
Main Subah-o Shaam Karna Chahti Hun.

Charaaghon Se Hawa Ki Dushmani Hai,
Isey Nakaam Karna Chahti Hun. !!

Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap

Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap,
Wo mere dil ki deewaarein hila gaya chup chaap.

Ghum-e hayat ke taptey hue biyabaan mein,
Humein chhod ke woh tanha chala gaya chup chaap.

Na jaane kaun sa woh badnaseeb lamha tha,
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap.

Main jis ko chhooti hun woh zakhm deta hai,
Woh phool aise chaman mein khila gaya chup chaap… !!

Meri aankhein salamat hain



Meri aankhein salamat hain,
Mera dil mere seene mein dhadakta hai,
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi.

Mohabbat ek wada hai..
Jo sachai ki undekhe kisi saat mein hota hai,
Kisi rahat mein hota hai.
Ye wada shayari ban ke mere jazbon mein dhulta hai.
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi.

Mohabbat ek mousam hai,
Ki jis mein khwaab ugte hain toh,
Khwabon ki hari shakhein..
Gulaabon ko bulaati hain,
Unhein khushboo banati hain.
Ye khushboo jab
Humaari khidkiyon mein dastakien de kar guzrti hain
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi…!!

Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la de,

Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la de,
mere baazu, meri aankhein, mera chehra la de.

Aisa dariya jo kisi aur samundar mein gire,
iss se behtar hai ki mujh ko mera sehra la de.

Kuchh nahin chahiye tujh se aye meri umar-e rawaan,
mera bachpan, mere jugnu, meri gudiya la de.

Naya mausam meri beenaai ko tasleem nahin,
meri aankhon ko wohi khwaab puraana la de.

Jis ki aankhein mujhe andar se bhi padh sakti hon,
koi chehra toh mere shehar mein aisa la de.

Kashti-e jaan toh bhanwar mein hai kayi barson se,
aye khuda! ab toh dubo de ya kinaara la de. !!
.......................

Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la de,

Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la de,
mere baazu, meri aankhein, mera chehra la de.

Aisa dariya jo kisi aur samundar mein gire,
iss se behtar hai ki mujh ko mera sehra la de.

Kuchh nahin chahiye tujh se aye meri umar-e rawaan,
mera bachpan, mere jugnu, meri gudiya la de.

Naya mausam meri beenaai ko tasleem nahin,
meri aankhon ko wohi khwaab puraana la de.

Jis ki aankhein mujhe andar se bhi padh sakti hon,
koi chehra toh mere shehar mein aisa la de.

Kashti-e jaan toh bhanwar mein hai kayi barson se,
aye khuda! ab toh dubo de ya kinaara la de. !!
.......................

Monday 6 April 2015

Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua

Ab  kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua,
iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua.

Ye hijr-hawa bhi dushman hai iss naam ke saare rangon ki,
woh naam jo mere honthon par khushboo ki tarah aabaad hua.

Uss shehar mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhool gaye,
ek shakhs kitaabon jaisa tha woh shakhs zubaani yaad hua.

Woh apne gaaon ki galiyaan thi dil jin mein naachta gaata tha,
ab iss se farq nahin padta nashaad hua ya shaad hua.

Benaam sataaish rehti thi in gehri saanwali aankhon mein,
aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua. !

Uljhan Noshi Gilani


Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega

Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega,
ghuroor lehje mein aa gaya toh kalaam mumkin nahin rahega.

Ye barf mausam jo shehar-e jaan mein kuchh aur lamhe thehar gaya toh,
lahoo ka dil ki kisi gali mein muqaam mumkin nahin rahega.

Tum apni saanson se meri saansein alag toh karne lage ho lekin,
jo kaam aasaan samajh rahe ho woh kaam mumkin nahin rahega.

Wafa ka kaaghaz toh bheeg jaayega badgumaani ki baarishon mein,
khaton ki baaten toh khwaab hongi payaam mumkin nahin rahega.

Main jaanti hun mujhe yaqeen hai agar kabhi tu mujhe bhula de,
toh teri aanhkon mein roshni ka qayaam mumkin nahin rahega.

Ye hum mohabbat mein la’taalluq se ho rahe hain toh dekh lena,
duaayen toh khair kaun dega salaam mumkin nahin rahega . !!
......................................

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle,
hijr ki poori raat aati hai subah-e wisaal se pehle.

Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin,
aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle.

Kis ne reit udaati shab mein aankhein khol ke rakhin,
koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle.

Kaar-e mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai,
ek zawaal aasaar sa raasta baab-e kamaal se pehle.

Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta,
jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle

Woh baat baat mein itna badalta jaata hai

Woh baat baat mein itna badalta jaata hai,
ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai.

Ye aarzoo thi ki hum uss ke saath saath chalen,
magar woh shakhs toh raasta badalta jaata hai.

Ruttein wisaal ki ab khwaab hone waali hain,
ki uss ki baat ka lehja badalta jaata hai.

Reha jo dhoop mein sar par mere wahi aanchal,
hawa chali hai toh kitna badalta jaata hai.

Woh baat kar jise duniya bhi mo’tabar samjhe,
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai.

Apne khilaaf shehar ke andhe huzoom mein

Apne khilaaf shehar ke andhe huzoom mein,
dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua.

Tool-e shab-e firaaq teri khair ho ki dil,
amaada-e visaal tujhe dekh kar hua.

Ye hum hu jaante hain judaai ke mod par,
iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.

Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshani,
aur mujh se ye kamaal tujhe dekh kar hua.

Bichhde toh jaise zehan muattal sa ho gaya,
shehar-e sukhan bahaal tujhe dekh kar hua.

Phir log aa gaye mera maazi kuredne,
phir mujh se ek sawaal tujhe dekh kar hua

Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Mein

Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Mein
Ghubaar-e-Shab Ki Udasi Mei Dhal Rahi Huun Mein

Ajeeb Barf Ki Barish Badan Pe Utri Hei
Ke Jis Ki Aag Mei Chup Chaap Jal Rahi Huun Mein

Phir Ik Charaagh Jala Shaam Ki Haveli Mein
Phir Ik Dard Se Aakhir Sambhal Rahi Huun Mein

Ye Rakh Rakhaao Usay Jeenay Naheen De Ga
Ke Apne Aap Mei Kaisay Pighal Rahi Huun Mein

Ye Ishq Sach Se Juda Kaisay Ho Gaya Jaana.?
Ab Is Sawaal Se Bahar Nikal Rahi Huun Mein

Bas Ik Ishq Meri Zaat Per Saheefa Ho
Mere Khuda! Ye Aqeeda Badal Rahi Huun Mein..!

Aankhain Bhi Wohi Hain Tou Dareecha Bhi Wohi Hai


Aankhain Bhi Wohi Hain Tou Dareecha Bhi Wohi Hai
Aur Soch Ke Aangan Mein Utarta Bhi Wohi Hai

Jis Ne Mere Jazbon Ki Sadaaqat Ko Na Jaana
Ab Meri Rafaaqat Ko Tarasta Bhi Wohi Hai

Is Dil Ke Kharaabay Se Guzar Kis Ka Howa Hai ?
Aankhain Bhi Wohi, Hont Bhi, Lehja Bhi Wohi Hai

Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhaayi Ne Tujh Se
Is Sheher Ki Deewar Pe Likha Bhi Wohi Hai

Wo Jis Ne Dye Mujhko Mohabbat Ke Khazaanay
Baadal Ki Tarah Aankh Se Barsaa Bhi Wohi Hai

 
 
Blogger Templates