Social Icons

Showing posts with label Ahmad Faraz. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Faraz. Show all posts

Monday 13 April 2015

Hawa Ke Zor Se Pindaar E Baam O Dar B Gaya

Hawa Ke Zor Se Pindaar E Baam O Dar B Gaya
Chiragh Ko Jo Bachate They Un Ka Ghar B Gaya

Pukaarte Rahe Mahfooz Kashtiyon Wale
Main Dobta Hua Dariya Ke Par Utar B Gaya

Ab Ehtiyaat Ki Deevaar Kya Uthaate Ho
Jo Chor Dil Mein Chupa Tha Wo Kaam Kar B Gaya

Sulagte Sochte Veeraan Mausamon Ki Tarah
Karra Tha Ehd E Javaani Magar Guzar B Gaya

Jise Bhulaa Na Sakaa Us Ko Yaad Kya Rakhta
Jo Naam Dil Mein Raha Zehan Se Utar B Gaya

Phati Phati Hui Aankhon Se Yun Na Dekh Mujhe
Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs Mar B Gaya

Magar Falak Ki Adaavat Usi K Ghar Se Na Thi
Jahaan Faraz Na Tha Sail E Gham Udhar B Gaya.

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhanay Wala


Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhanay Wala
Wahi Andaaz Hai Zaalim Kaa Zamaanay Wala

Ab Isay Log Samajhate Hain Giraftaar Meraa
Sakht Nadim Hai Mujhe Daam Main Laanay Wala

Kyaa Kahain Kitane Maraasim The Hamaare Us Se
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaanay Wala

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saary Duniyaa
Aaj Tanhaa Houn To Koi Nahi Aanay Wala

Muntazir Kis Kaa Houn Tooti Hoe Dahaleez Pe Main
Kaun Aaye Gaa Yahan Kaun Hai Aanay Wala

Main Ne Dekhaa Hai Bahaaroun Main Chaman Ko Jalte
Hai Koi Khwaab Kii Taabeer Bataanay Wala

Kyaa Khabar Thi Jo Meree Jaan Main Ghulaa Hai Itnaa
Hai Wahi Mujh Ko Sar-E-Daar Bhi Laanay Wala

Tum Taqalluf Ko Bhi Ikhalaas Samajhate Ho 'Faraz'
Dost Hotaa Nahain Har Haath Milaanay Wala

Saturday 11 April 2015

Ab Ke Hum Bichray To Shaid Kabhi Khwabon Mein Milein

Ab Ke Hum Bichray To Shaid Kabhi Khwabon Mein Milein
jis tarha sookhe huey phool kitabbon Mein Milein

dhoonda ujjre hue logon main wafa ke mouti 
yeh khazane tuje mumkin hai khrabon Mein Milein

gham e dunia bhi gham e yaar main shamil karlo
nasha barhta hai sharabain jo sharabon Mein Milein

too khuda hai na mera ishaq frishton jesa
dono insan hain to kiyoun itne hijabon Mein Milein

aaj hum dar pa khenche gaye jin baton par
kiya ajab kal wo zamane ko nasabon Mein Milein

ab na wo main hoon na too hai na wo mazi hai Faraaz
jese do saye tamana ke sarabon Mein Milein    

Saturday 4 April 2015

Jis simt bhi dekhoon nazar aata hai ke tum ho


Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e- suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
...................

Ye kiya k sab se bayaan dil ki haalaten karani | Ahmad Faraz

Ye kiya k sab se bayaan dil ki haalaten karani

`Faraz` tujh ko na aain Muhabbaten karani

Ye qurb kya hai k tu saamane hai aur hamen

Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani

Koi khudaa ho k patthar jise bhi hum chaahen

Tamaam umr usi ki ibaadaten karani

Sab apane apanee qarine se muntazir us k

Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani

Hum apne dil se hain majabuur aur logon ko

Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani

Milen jab un se to mubaham si guftaguu karana

Phir apane aap se so-so vazaahaten karani

Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain

Hamin to raas na aain muhabbaten karani

Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa

Kabhi talaash puraani raqaabaten karani.
................

Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz Ahmad faraz

Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz

Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz

Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz

 Apne sitam dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam dekhein Gay kisi roz

ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa Ahmad faraz

ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa
aa phir e mjhy chor k jany k liye aa

pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa

kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa

ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa
.............

Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha

Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha

kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha

suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha

Jab tera dard mere sath wafa kerta hai ,


Jab tera dard mere sath wafa kerta hai ,
Ik samander meri aankhon se baha kerta hai ,

Uski batein mujhe khushboo ki tarha lagti hain
Phool jaise koi sehra mein khila kerta hai....,

Mere dost ki pehchan yehi kafi hai ......
Wo har ik shakhs ko danista khafa kerta hai,

Aur to koi sabab usski muhabbat ka nahi ,
Baat itni hai ke wo mujh se jafa kerta hai,

Jab khizaa'n aye gi luat aye ga tab wo bhi Faraz,
Wo bahaaron mein zara kam hi mila kerta hai.

Qurb-E-Janan Ka Na Mekhane Ka Musam Aaya..

Qurb-E-Janan Ka Na Mekhane Ka Musam Aaya..
Pher Se Be-Sarfa Ujjarr Jane Ka Musam Aaya..

Kanj-E-Gurbat Mein Kbi Gosha-E-Zindan Men Thay Hum..
Jan-E-Jaan Jab Bhi Tere Aane Ka Musam Aaya.

Ab Lahu Rone Ki Khawish Na Lahu Hone Ki..
Dil-E-Zinda Tere Marjane Ka Musam Aaya..

Kocha-E-Yaar Se Har Fasal Mein Guzre Hain Magr..
Shayad Aab Jaan Se Guzar Jane Ka Musam Aaya..

Koi Zanjeer Koi Harf-E-Khard Le Aaya..
Fasal-E-Gul Aai K Divane Ka Musam Aaya..

Seel-E-Khoon Shahr Ki Galiyon Mein Dar Aaya Hai "FARAZ",,
Aur Too Khush Hai K Ghar Jane Ka Musam Aaya

Faqat Hunar Hi Nahi Aaib | Ahmad Faraz Best Poetry

Faqat Hunar Hi Nahi Aaib
Bhi Kamaal K Rakh,

Soo Doosron K Liye
Tajrube Misaal K Rakh.

Nahi Hai Taab To Phir
Aashiqi Ki Raah Na Chal,

Ye Kaar-Zaar-e-Junoo'n
Hai Jigar Nikaal K Rakh.

Sabhi K Haath Dilon Par
Nigaah Tujh Par Hai,

Qadah Badast Hai Saaqi
Qadam Sanbhaal K Rakh.

Faraz Bhool Bhi Jaa Sanihe
Muhabbat K,

Hatheliyon Pe Na In
Aablaon Ko Paal K Rakh.

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan


Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan
Bujhi hain dard ke shamein, k so gya hy badan

Sulag rahi hain na jany, kis aanch se aankhein
Na aansooan ke talab hy, na rat jago’N ke thakan

Dil-e-freb zada, dawat-e-nazar pe na ja
Yeh aj k qad-o-gaisoo hain, kal k dar-o-rasan

Bahar-e-qurb se pehly, ujaarh deti hain
Judaion ke hawain, mahabbato’N k chaman

Phir aaj shab tery kadmo’N ke chaap k humraah
Sunai de hy dil-e-na muraad ke dharkan

Yeh zulm dekh k tu jaan-e-shairi hy magar
Meri ghazal mein tera naam bhi hy jurm-e-sukhan

Ameer-e-shehar, ghareebo’N ko loot leta hy
Kabhi ba heela-e-mazhab, kabhi ba naam-e-watan

Hawa-e-dehar se dil ka chiragh kya bujhta
Magar FARAZ salamat hy, yaar ka daaman__!!!!!!!!!!!!!!!!!!
.......

Chalo Wo Ishq Nahi Chaahne Ki Aadat Hai

Chalo Wo Ishq Nahi Chaahne Ki Aadat Hai
Ye Kiya Karen Hum Ek Doosre Ki Aadat Hai

Tu Apni Sheesha-Gari Ka Hunar Na Kar Zaiya
Mein Aaina Hoon Mujhe Tootne Ki Aadat Hai

Mein Kiya Kahoon K Mujhe Sabar Q Nahi Aata
Mein Kiya Karoon K Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai

Tere Naseeb Mein Ay DiL ! Sadaa Ki Mehroomi
Na Wo Sakhi, Na Tujhe Maangne Ki Aadat Hai

Wisaal Mein Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
K Us Ko Neend Mujhe Rut-Jagge Ki Aadat Hai

Ye Mushkilen Hain To Phir Kaisey Raastay Taye Hoon
Mein NaaSaboor Usay Sochne Ki Aadat Hai

Ye Khud Azziyati Kab Tak FaRaZ TU Bhi Essay
Na Yaad Kar K Jisay Bhoolne Ki Aadat Ha
................

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan
Bujhi hain dard ke shamein, k so gya hy badan

Sulag rahi hain na jany, kis aanch se aankhein
Na aansooan ke talab hy, na rat jago’N ke thakan

Dil-e-freb zada, dawat-e-nazar pe na ja
Yeh aj k qad-o-gaisoo hain, kal k dar-o-rasan

Bahar-e-qurb se pehly, ujaarh deti hain
Judaion ke hawain, mahabbato’N k chaman

Phir aaj shab tery kadmo’N ke chaap k humraah
Sunai de hy dil-e-na muraad ke dharkan

Yeh zulm dekh k tu jaan-e-shairi hy magar
Meri ghazal mein tera naam bhi hy jurm-e-sukhan

Ameer-e-shehar, ghareebo’N ko loot leta hy
Kabhi ba heela-e-mazhab, kabhi ba naam-e-watan

Hawa-e-dehar se dil ka chiragh kya bujhta
Magar FARAZ salamat hy, yaar ka daaman__
.......

Chalo Wo Ishq Nahi Chaahne Ki Aadat Hai

Chalo Wo Ishq Nahi Chaahne Ki Aadat Hai
Ye Kiya Karen Hum Ek Doosre Ki Aadat Hai

Tu Apni Sheesha-Gari Ka Hunar Na Kar Zaiya
Mein Aaina Hoon Mujhe Tootne Ki Aadat Hai

Mein Kiya Kahoon K Mujhe Sabar Q Nahi Aata
Mein Kiya Karoon K Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai

Tere Naseeb Mein Ay DiL ! Sadaa Ki Mehroomi
Na Wo Sakhi, Na Tujhe Maangne Ki Aadat Hai

Wisaal Mein Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
K Us Ko Neend Mujhe Rut-Jagge Ki Aadat Hai

Ye Mushkilen Hain To Phir Kaisey Raastay Taye Hoon
Mein NaaSaboor Usay Sochne Ki Aadat Hai

Ye Khud Azziyati Kab Tak FaRaZ TU Bhi Essay
Na Yaad Kar K Jisay Bhoolne Ki Aadat Ha
................
 
 
Blogger Templates