Aaj roothe hue sajan ko bohot yaad kia
apne ujre hue gulshan ko bohot yaad kia
jab kabhi gardish e taqdeer ne gera hai muje
gesu e yaar ki uljhan ko bohot yaad kia
shama ki jot pa jalte hue parwano ne
ik tere shola e daman ko bohot yaad kia
jis ke mathe pa nai subh ka jhoomar hoga
hum ne us waqat ki dulhan kobohot yaad kia
aaj toote hue sapno ki bohot yaad aai
aaj beete hue sawan ko bohot yaad kia
ham sar e toor bhi mayoos tajali hee rahe
is dar e yaar ki chilman ko bohot yaad kia
mutmain ho hee gaye dam o qafas main saghir
hum aseero ne nasheeman ko bohot yaad kia
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin