Social Icons

Showing posts with label Peer Naseer Ud Deen Shah RA. Show all posts
Showing posts with label Peer Naseer Ud Deen Shah RA. Show all posts

Sunday 17 May 2015

jis taraf bazam main wo aankh utha dete hain

jis taraf bazam main wo aankh utha dete hain
dil ashaaq main halchal si macha dete hain

jaam o meena pa hee nai mouqoof  unka karam
mouj main aain to aankhaon se pila dete hain

koi bete to sahi ehle nazar main ja kar
dil ko aik aan main aina bana dete hain

hal e dil usne jo poocha to bhar aye aansoo
naram alfaz bhi zakhmon ko hawa dete hain

too ne daikha ke tere hijar main rone wale
hanste mahool main aik aag laga dete hain

waja e barbadi dil koi agar poochta hai
rone wale teri tasweer dikha dete hain

ab yahi shugal hai din raat muhabbat main naseer
ashk beete huey lamhon ko sada dete hain

kabhi unka naam lena, kabhi unki baat karna

kabhi unka naam lena, kabhi unki baat karna
mera zouq unki chahat mera shouq unpa marna

wo kisi ki jheel aankhain wo meri janoon mizaji
kabhi doobna ubar kar kabhi doob kar ubarna

shab e gham na pooch kese tere mubtala pa guzri
kabhi aabar ke girna kabhi gir ke aah barna

wo teri gali ke tewar wo nazar nazar pe pehre
wo mera kisi bahane tuje daikhte guzarna

kahan mere dil ki hasrat kahan meri narsaai
kahan tere geson ka tere dosh pa bikharna

tuje daikh kar na jane abhi kiyoun hai log zinda
hai ajeeb badmazaqi tuje daikh ker na marna

chale lakh chal dunia ho zamana lakh dushman
jo teri panah main ho use kiya kisi se darna

wo karain ge nakhudai to lage gee paar kashti
hai naseer warna mushkil tera paar youn utarna

Wednesday 22 April 2015

Ilahi ! mutma'in hon ge na ab gulshan main hum kab tak

Ilahi ! mutmain hon ge na ab gulshan main hum kab tak
fiza e rang o boo ke yeh karashme dam badam kab tak

tumhi keh do , hamain rehna hai mehroom e karam kab tak
barosa kiya hai , is dunia main ,tum kab tak ho , hum kab tak

humain chakrain ge der o haram ke pecho kham kab tak
youn hee phirte rahain ge in guzargahon main hum kab tak

muhabbt mutmain hai sabar ke mazboot halqe main
magar ab kiya kahen jari hai rasm e sitam kab tak

maal e kar , dil ko hai giraftar e bala hona
koi suljae ga akhir teri zulfon ke kham kab tak

jo bichra tha wo payara mil gaya

jo bichra tha wo payara mil gaya
khuda rakhe dobara mil gaya

un ashkon ka ishara mil gaya
mere dil ko sahara mil gaya

khuda hai na khuda beher wafa main
safeene ko kinara mil gaya

hui poori mere dil ki tammana
muje bhi dar tumara mil gaya

larazti hai shab e gham ki siyahi
meri aankhon ko tara mil gaya

Naseer aik roz wo bhi aamilain ge
mera unka sitara mil gaya

jo too na raha to wo bat gai jo wo bat gai to maza na raha

jo too na raha to wo bat gai jo wo bat gai to maza na raha
wo umag kahan wo tarang kahan wo mizaj e wafa o jafa na raha

shab o roz kaheen b alag na hua shab o roz kahan wo mila na raha
rag e jan se hamari qareeb raha rag e jan se hamari juda na raha

kisi shakal main bhi kisi rang main bhi kisi roop main bhi kisi dhang main bhi
wo hamari nazar se chupa to magar wo hamari nazar se chupa na raha

tere zulam o sitam jo huey muj pa kam to yeh hal mera hai qadam qadam
wo tarap na rahee wo jalan na rahi gham o dard main ab wo maza na raha

jab tak yeh silsila rahe sham o paga ka

jab tak yeh silsila rahe sham o paga ka
doobe na aftab tere izz o jaah ka

aata nai pasand use khuld ka saman
khaka hai jis nazar main teri gird rah ka

qal b o nazar ke faisle dotok ho gaye
kiya poochna ab aapki pehli nigah ka

muj zara e haqeer ko bakhsha yeh martaba
faizan daikheye mere ajiz panah ka

Yaa rab Naseer ki hai teh e dil se yeh dua
iqbal ooj par ho mere kaj kula ka
 
 
Blogger Templates