Social Icons

Showing posts with label Love Poetry. Show all posts
Showing posts with label Love Poetry. Show all posts

Tuesday 14 April 2015

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha
Khabar Nahi Ke Sooruj Kidhar Se Nikla Tha

Ye Kon Phir Se Mujhy Raston Main Chor Gaya
Abhi Abhi To Azaab-E-Safar Se Nikla Nikla Tha

Ye Teer Dil Main Magar Be Sabab Nahi Utra
Koi To Hurf Lub-E-Charagar Se Nikla Tha

Men Raat Toot Kar Roya To Chain Se Soya
Ke Dil Ka Zahar Meri Chusm-E-Tar Se Nikla Tha

Wo Qais Ab Jisay Majnoo Pokarty Hen Log
Meri Terha Koi Deewana Ghar Se Nikla Tha

Monday 13 April 2015

Kuch tum se mohabat aisi thi


Kuch tum se mohabat aisi thi.
Hum batein karna bhool gaye!

Kuch or hi hum ne keh dala.
Jo kehna tha wo bhool gaye!

Hum ne to kaha tha lout aana.
Par tum to aana bhool gaye!

Huwi Rat, falak par tary thy.
Hum diya jalana bhool gaye!

Mein sahil par betha hi raha.
Tum kashti lana bhool gaye!

Ab kaisa gila main tum se karon.
Jab naseeb hi mujh ko bhool gaye!

Hum tum se khafa bethy hi rhe.
Tum hum ko mana'na bhool gaye...

Saturday 11 April 2015

Muhabbat | Love Poetry By Amjad Islam Amjad

Muhabbat os ki soorat
piasi pankhari ke hont ko serab krti hia
gulon ki asteeno main anokhe rang barti hai
seher ke japatne main , gungunati, muskurati, jagmagati hai
muhabbat ke dino main dasht bhi mehsoos hota hi
kisi firdos ki soorat
muhabbat aos ki soorat

muhabbat khawab ki soorat
nigahon main utarti hai kisi mehtab ki sooorat
sitare arzoo ke is tarha se jagmagate hain
ke pechani nai jati dil e betab ki soorat
muhabbat ke shajar par khawab ke panchi utarte hain
to shakhain jaag uthti hain
thake hare sitare jab zameen se bat karte hain
tokab ki muntazir aankhon main
shamain jaag uthti han
muhabbat in main jalti hai charag e ab ki soorat
muhabbat khawab ki soorat
!

muhabbat dard ki soorat !

guzishta mosmon ka istihara ban ke reti hai
shabane hijar main roshan sitara ban ke reti hai

muhabbat abar ki soorat
dilon ki sarzameen pa ghir ke aati hai or barasti hai
chaman ka zara zara jhoomta hai muskurata hai
azal ki be namo matti main sabza sar uthata hai
muhabbat unko bhi abad or shadab karti hai
jo dil hain qabar ki soorat
buje seeno main jalti hi to dil bedar hote hain
muhabbat ki tapish main kuj ajab asrar hote hain
ke jitna yeh barakti hia , uroos e jaan mehekti hai
dilon ke sahilon pa jama hoti hai or bikarti hai
muhabbat jaag ki soorat
muhabbt aag ki soorat

munderon pa charagon ki lowen jab thar-tharati hain
nagr main naumeedi ki hawain sunsunati hain
gali main jab koi ahat koi saya nai reta
dukhe dilon ke lieye jab koi bhi dhoka nai rata
gamon ke boj se jab tootne lagte hain shane to
yeh un pa hath rakhti hai
kisi hamdard ki soorat!

guzar jate hain sare qafle jab dil ki basti se
fiza main terti hai dare tak
yeh gird ki soorat
muhabbat dard ki soorat

Friday 10 April 2015

Meri muhabaten meri wafaen, Kabhi To Yaad ayengi

Meri muhabaten meri
wafaen,
Kabhi To Yaad ayengi "UnheiN"


         
Jab "unki" Chahaton ko
Ilzam de kar Thukra dy ga Koi.

HONTON SE KABHI HONT MILA KAR DEKHO

"HONTON SE KABHI"
         "HONT"
 "MILA KAR DEKHO"



Mujh ko apny nazdeek kabhi bula kar dekho.

Main ne suna hai lazat e lab choomny se nasha charhta hai.

Aao phir kisi shab mujhy ye jaam pila kar dekho.

Kitni muztrib har raat guzarti hai tum kiya jano.

Kabhi jismon mein lagi aag honton se jala kar dekho.

Piyas bhi bhujh jaye gi arman bhi hon ge pury.

Bas aik raat mjhy apny pas sula kar dekho.


"HONTON SE KABHI"
         "HONT"
 "MILA KAR DEKHO".

Mein apne daman mein chupa loon tujhko


.Mere_Paas Aajao
.
Mein apne daman mein chupa loon tujhko.

Dil karta hai apna bana loon tujhko.

Marr k bhi na toote ye rishta hamara.

Is tarha se apni Rooh mein sama loon tujhko.

Apni baahon mein is tarah se le lon.

K phir na baahon se nikalon tujhko.

Tere pyar ne mujhe har cheez se ghafil kar diya.

Ab dil karta hai tujhse chura lon tujhko.

Tere beghair ab "HUM" jee nahi sakty.

Mere Paas ajao ye kaesy.. ..samjhaon tujko.

Main Hoon Wohi Pehchan Le Jo Teri Mohabt Ka Maan Tha

Main Hoon Wohi Pehchan Le Jo Teri Mohabt Ka Maan Tha

Teri Shokhiyan
Teri Mastiyan
Teri Har Adaa Ka Hijaab Tha

Jb Tha Zamana Ek Taraf
Or Main Dewana Ek Taraf

Kisi Gham Ki Kab Parwah Thi Tera Pyar Jo Be-Hisaab Tha

Tu Tb Talak Sota Na Tha
AGar Bat Mujh Se Hoti Na Thi

Aaftab Tha Tere Din Ka
Or Teri Raat ka mehtaab tha Tu maan ya na maan ya waqt waqt ki bat hai.

Aaj baan gya khud sawal hoon.
Phly me he tere har sawal ka jawb tha.

Kisi bhi mor, Ya, Agly mor pr

Kisi bhi mor,
Ya,
Agly mor pr,

Juda hi hum ko hona hy,
To phir aao..

Yahin apny asaason ko
alag kr len..

Ye jitny zakhm,
DIL per hain,

Idhar,
Meri traf kr do,

K tum,
Aksar ye kehty thy,

Ye sab,
Meri badolat hain..

Magar thehro..

Zara thehro..

Yahan,
Kuch khawab bhi hon gy,

Jo,
Mil k hum ny dekhy thy..

Suhany khawab,
Tum rakh lo,
Adhoory sab,
Mujhy dy do,

K meri,
Yun bhi aadat hy,

Mujhe,
Tooti hui cheezon sy,
Ek Be'nam mohabbat hai...

Parne Lagi Hai Tum Py Zamane Ki Ab Nazar



"Parne Lagi Hai Tum Py Zamane Ki Ab Nazar..!!


"Jalne Lage Hain Log Mere Intakahab Sy..!!


Thursday 9 April 2015

tumari yaad ki dunia main din se rat karon

tumari yaad ki dunia main din se rat karon
kisi ki bat chale main tumari bat karon

Faraz karo hum tare hote | Amjad Islam Amjad

Faraz karo hum tare hote
aik dooje ko door door se daikh kar jalte bujte
or phir aik din
shakh e falak se girte or tareek khalaon main kho jate!
darya ke do dhare hote
apni apni mouj main bete
or samander tak is andhi wehshi or munh zor musafat ke jado main
tanha rete
faraz karo hum bhor sime ke panchi hote
urte urte ik dooje ko choote or phir
khule gugan ki gehri or be sarafa aankhon main kho jate
abar e bahar ke jhonke hote
mousam ke ik be naqsha se khawab main milte
milte or juda hojate
khushak zameeno ke hathon pa sabaz lakeerain kunda karte or
an daikhe sapne
bote
apne apne aansoo ro kar chain se sote
faraz karo hum jo kuch ab hain wo na hote?

Dasht e Ulfat Me Meri Chahat Se inkaar Tha Usay

Dasht e Ulfat Me Meri Chahat Se inkaar Tha Usay

Hamain Youn Laga Kisi Aur Se Pyaar Tha Usay

Apni Mohabbat Se Mujhy Aashna Kare Na Kary

Apni Zeest Pe Mukamal ikhtiyaar Tha Usay

Ghar Jala Kar Mera Mujh Ko Dua De Gaya

Mery Lutny Me Hi Shayed Kuch Qaraar Tha Usay

Mujh Se Mil Kar B Nigahein Kahin Bhatakti Thi Us Ki

Jaisy Sadyon Se Kisi Aur Ka intizaar Tha Usay

Sard Raaton Mein Aksar Milny Aa Jata Tha Wo DOST

Meri Mohabat Par itna To Itebar Tha Usy.

Suno Mujh Se Roothna Mat Ghazal Poetry

  "Ghazal"
Suno!! Mujh se
 ruthna mat,
.
 Muje rona nhi
 ata..
.
 Mujh se door
 mat jana,

 Muje khona nhi ata..
,
 Main to mar hi
 jaonga,
,
 K tum bin jeena mushkil hai..
,
 Jo dard tum
 dena chahte ho
,
 mujhe pena
 nhi ata..
,
 Tum to reh Lo
 gy,
,
 saath kisi aur k mgr..
,
 Main kia krun
 k mujhe,
,
 RASTA badalna
 b nhi ata..
,
 Tum to waaqif
 ho,
,
 Andaza-e-
 Guftugu k..
,
 Mujhe to baat
 krne ka,
,
 salika b nhi
 ata..
.
 Tum to jeet jate ho,
.
 Larr jhagar
 kr b
.
 Dekho muje to
 Larna b nhi ata,
.
 Tum to khush
 reh lo gye mere bin,
 Dekho tumhare
 bin to mujhe,


  "JEENA B NHI ATA"

koi to ho aisa jo siraf mera ho

~~~"GHAZAL"~~~
"Koi To ho aisa,
Jo sirf Mera ho!

Baton Me uski khushbo ho,
DiL Me uska basera ho!


Chahe to chahat Meri,
Mangey To Muhabat Meri!


Wo chand ki chandni ho
To
Chand sirf Mera ho!


Wo din ki roshni ho To
Suraj sirf Mera ho!

Wo phoLoon ki khushbo ho To
Ehsas sirf Mera ho!


Wo raat ka ujaala ho
To
Chragh sirf Mera ho!

Wo ishq or Muhabat ho
To
DiL sirf Mera ho!


Wo pani ka qatra ho
To
Darya sirf Mera ho!

Wo Qismat ki Lakeer ho
To
h

Wednesday 8 April 2015

Mujhe Tum Se Muhabbat Hai by Noshi Gilani

fiza main jese koi khushboo ka raqas jaga hai
sunehri titlian phir se gulabon ke labon ko choo ke ai hain
drakhton ki khuli banhon main saye bat karte hain
udasi ashk aankhon main lieye ab door nikali

isi dhalte hue din ki manderon par
charagh  sham jalta hai
to dast e meherban jese
mere anchal ke kone se wafa ka aik lamha band deta hai
mere sehen e hunar main haraf o mahni ki tilawat sans leti hai
koi roshan sitara aasman pa muskurata hai
samander geet gata hai

kamal e ehed e masti hai
jahan par mousam e jan bhi bohot heran lagta hai
koi chehra mere dil ke badan se aan lagta hai

yahi chupke se kehta hai
"
"Mujhe Tum Se Muhabbat Hai"
"Mujhe Tum Se Muhabbat Hai"

sabaz madham roshni main surakh aanchal ki dhanak

sabaz madham roshni main surakh aanchal ki dhanak
sard kamre main machalti garam sanson ki mehek

bazon ke sakhat halqe  main koi nazuk badan
satoo main malboos par, aanchal bhi kuj dhalka hua

garmi e rukhsar se dehki hui thandi hawa
naram zulfon se mulaim unglion ki cher chaar

surkh honton pa shararat ke kisi lamhe ka akas
reshmain bahoon main choori ki kabhi madham khanak

kampte hue honton pa thi ALLAH se siraf aik dua
kash yeh lamhey ther jain ther jain ! zara !

sab tumare lieye | Love Poetry By Amjad Islam Amjad

sab tumare lieye
jan e jan yeh jahan , yeh zameen aasman
ye mere rat din . khak hain tere bin
yeh meri zindagi, dosti dushmani
raste, waste, sab tumare lieye
sab tumare lieye'
tum jo daikho to mere  shab o roz ko
koi matlab miley
tum jo poocho to mere har ik harf ko
koi rutba miley
tum jo socho mere waste kuj bhi
main sitaron ko muthi main bar laonga
tum agar aik din muj ko awaz do
main jahan par bhi hoon, lot aoga
yeh mere jism o jan mere sher o sukhan
meri tanhaiyan
bazam araian

ab tumare liey
sab tumare lieye

amjad islam amjad

Tuesday 7 April 2015

Main Or Meri Tanhai , akser yeh batain karte hain

Main Or Meri Tanhai


main or meri tanhai
akser yeh batain karte hain
tum hoti to kesa hota
tum yeh kehtin tum wo kehtin
tum is bat pa heran hotin
tum is bat pa kitna hanstin
tum hoti to aisa hota, tum hoti to wesa hota
main or meri tanhai akser yeh batain kerte hain
yeh rat hai ya tumari zulfain khuli hui
hai chandni ya tumari nazron se meri ratain dhuli hui hain
yeh chand hai ya tumara kangan
sitare hain ya tumara anchal
hawa ka jhonka hai ya tumare badan ki khushboo
yeh pation ki hai sarsarahat . ya tum ne chupke se kuch kaha hai
yeh sochta hoon main kab se gum sum
ke jabke mujko khabar hai . ke tum nai ho
kaheen nai ho
magar ye dil keh raha hai
ke tum yaheen ho yaheen kaheen ho
majbori halat idar b hain udar bhi
tanhai ki aik rat idar bhi hai udar bhi
kehne ko bohot kuch hai magar kis se kahain
kab tak youn hee khamosh rahain or sahain
dil kehta hai dunia ki har rasam utha dain hum
deewar jo hum dono main hi aj gira dain hum
kiyon dil main sulagte rahain hum logon ko bata dain

han han hum ko muhabbat hai, muhabbat hai, muhabbat
ab dil main yahi bat idar bhi hai udar bhi

Tum Se Bhut Koch Kehna Hai..!!

Tum Se Bhut Koch Kehna Hai..!!

Magar..!!

Kabhi Tum Nahi Miltey To Kabhi Alfaaz Nahi Miltey..!!

Eik Nai Duniya Basana Chahta Hon..!!

Magar..!!

Kabhi Neend Nahi Aati To Kabhi Khwaab Nahi Miltey..!!

Ye Doriyan To Mita Do Ma Eik Pal main..!!

Magar..!!

Kabhi Kadam Nahi Chaltey To Kabhi Rastey Nahe Miltey..!!

Ronan Khan...

Is Chand Ko Dekho Kitna Milta Hai Hum Dono Sy..!!

     

Tumari Tarha Haseen Or Meri Tarha Tanha..!!

Monday 6 April 2015

Tumhara Daaman ho aur bas

Tumhara "Daaman"
        Ho
             Aur Bas...,

Motiyon Ki Tarah
       "Bikhar"
             Jaun Main..!

   
 
 
Blogger Templates