is duniya main
kitne sukh hain us dunia main or dukhi kitne!
kitne khali hath hain daikho or sakhi kitne
roz e azal se is lamhe tak
khali hathon or bare shikmon ke malik
aik hee neel gugan ke neeche
aik aise dariya ke soorat rawan dawan hain
jiska koi anat nai
or jiska aik kinara apne doosre sathi se ojhal hai
in dono ke milan ki khatir aye bani kitne
is chinta main rakh hue hain log gani kitne
laikin phir bhi dil kehta hai
aakhri shola ban jane tak aag se larte jain
jab tak rasta ruk nai jata age barte jain
Showing posts with label Nazam. Show all posts
Showing posts with label Nazam. Show all posts
Saturday, 16 May 2015
Friday, 10 April 2015
Alwidah | yeh sal bhi akhir beet gaya
socha tha qismat ke andhere
shayyad kuch chatt jain ge
dukhon ke boj the bohot zayada
shayad kuch ghat jain ge
zakham nasoor jo banne lage the
shayad ab bhar jain ge
subh jo rasta bhool gaye the
sham ko wo ghar aain ge
laikin aisa kuch bhi na hua
yeh sal bhi akhir beet gaya
shayyad kuch chatt jain ge
dukhon ke boj the bohot zayada
shayad kuch ghat jain ge
zakham nasoor jo banne lage the
shayad ab bhar jain ge
subh jo rasta bhool gaye the
sham ko wo ghar aain ge
laikin aisa kuch bhi na hua
yeh sal bhi akhir beet gaya
Saturday, 4 April 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)