Social Icons

Showing posts with label Amjad Islam Amjad. Show all posts
Showing posts with label Amjad Islam Amjad. Show all posts

Sunday 17 May 2015

log hote hain beshter jese

log hote hain beshter jese
band khirki ke mulgaje sheeshe
jinko sooraj ki taiz chamkeeli
dhoop din bhar ujal rakhti hai
sham ke sath hee magar unki
mungujahat bhi lout aati hai
or phir wo siraf chamkte hain
jinke ander ho roshni apne!!!!

zindagi ke raste main Amjad Islam Amjad

zindagi ke raste main
zindagi ke raste main har kisi ko marna hai
sab hee mar bhi jate hain
jeene ki tarha laikin koi koi jeeta hai

Saturday 16 May 2015

sitaron ko badalna chatey hain

sitaron ko badalna chatey hain
tere hum rah chalna chatey hain

bohot bar-haq sahi pasti hamari
magar ab hum sambhalna chatey hain

seher jesi bhi ho ,phir bhi seher hai
shab e gham se nikalna chatey hain

chaton se baraf rukhsat ho rahi hai
yeh mousam ab badalna chatey hain

mehkey shoukh jazbon ki tarha hum
tere dil main machalna chatey hain

nai rukti same ki taiz aandhi
dieye to kab se jalna chatey hain

rang kuch or hee bahar main they

rang kuch or hee bahar main they
hum kisi or intizar main they

ik khushboo rawan thee charo taraf
sare mousam usi khasar main they

ghor kijieye to kuch nai khulta
hum hain ya agle log ghar main they

kitne hote they muhtaram hum bhi
jab teri chashm e aitbar main they

sare manzir dayar e hasti ke
apne hone ke intishar main they

asman aik tha magar hum tum
apne apne kisi madar main they

usne daikha nai jise AMJAD
hum bhi shamil usi qitar main they

hum nai kehte hamari, teri dunia ho jaye

hum nai kehte hamari, teri dunia ho jaye
itne rangon main koi rang to apna ho jaye

ishq wo turfa bala hai ke kare jiski talab
usko maloom na ho, sher main charcha ho jaye

do sitaron ko jo daikhon teri aankhain ban jain
chand ko dehayan main laon tera chera ho jaye

har dora'he pa nigahban khari hai qismat
kese mumkin hai ke har shakhas ka socha, ho jaye!

hum ko har bazam main ,har hal main such kehna hai
sher ka sher kahafa hota hai,acha ho jaye

husan ki aankh wo takhsees talab hai AMJAD
bheer ho charo taraf or koi tanha ho jaye

hasti ka aitbar kiey bin raha na jaye

hasti ka aitbar kiey bin raha na jaye
dunia hai yeh, yaha pe jieye bin raha na jaye

kat'ti nai yeh zindagi umeed ke bagair
yeh jam wo hai jis ke pieye bin raha na jaye

chahat ka zakham dil ko tamasha bana na de
aisa hai chaak jis ko sieye bin raha na jaye

dunia ke is fashar main hai uski yaad youn
aandhi ho taiz or dieye bin raha na jaye

ik simat tera hukam hai ik simat kainat
yeh boj apne sar lieye bin raha na jaye

apne bakhton pa jo khush ho wo there khush bakhat

apne bakhton pa jo khush ho wo there khush bakhat
apni talab se barr kar jis ki khawish ,wo mardood

do lafzon main darj hai sara andar bahir dunia ka
chaye ab to mangta ban ja, chaye bin masjood!!

chalo phir lout kar daikhain | 14 August Poetry

kaha dil ne , zara thero ke aisi hee sahat koi
hamare dar par theri the
to hum ne bheer se ik qafle ka roop dahara tha

chalo phir lout kar daikhain
wo khushboo se bara rasta
(jo manzil ki nishani tha) kahan khoya!

yeh jo uljan bare manzaer hamare sath chalte hain
kahan ke hain!
wo kesa more tha jis par
hamari rehguzar ke hashion pa dhund utri thi
yeh jo charo taraf pagad-nadion ka jal phela hai
kahan buniad hi iski

aik din hum or tum waqat ke sehra main

aik din hum or tum
waqat ke sehra main
ho jain ge gum

kesa hai dastoor!
daar nai laikin
har koi mansoor

tera mera sath
hath main badil ke
tez hawa ka hath

dooba jaye dil
dono waqat mile
abto sajan mil

bante rango se
daikho dunia ko
meri aankhon se

is duniya main | Amjad Islam Amjad

is duniya main
kitne sukh hain us dunia main or dukhi kitne!
kitne khali hath hain daikho or sakhi kitne

roz e azal se is lamhe tak
khali hathon or bare shikmon ke malik
aik hee neel gugan ke neeche
aik aise dariya ke soorat rawan dawan hain
jiska koi anat nai
or jiska aik kinara apne doosre sathi se ojhal hai
in dono ke milan ki khatir aye bani kitne
is chinta main rakh hue hain log gani kitne

laikin phir bhi dil kehta hai

aakhri shola ban jane tak aag se larte jain
jab tak rasta ruk nai jata age barte jain

jalte the hont payas se, darya tha samne | Salam E Karbala

jalte the hont payas se, darya tha samne
laikin waqar e tashnagi, thera tha samne!

tanha ho jese koi diya aandion ke beech
aise wo is jajoom ke aya tha samne

khemon main aag, rait pa lashe pare huye
dhalti the dhop, sham thi, sehra tha samne

lakhon ki thi Hussain nazrain lagi huin
laikin waha to aik hee rasta tha samne!

yyeh bhi nai ke usko saza ki khabar na thi
hona tha jo bhi faisla likha tha samne

aik pal main roshni ke mani badal gaye
usne ajab charag sa rakha tha samne

likhta tha wo rait pa lahoo se payam e haq
dil ki har ik bat wo kehta tha samne

Yahi Ji Main Hai Tere Sher Main By Amjad Islam Amjad

yahi Ji main hai
teri rehmato ke hasar main tere astan pa khara rahon
teri oontni ke safar main jo, urri rait, urr ke dhanak bani
use apni aankh se choom loon, use apni jaan main utaar loon
use mohtaram se gubar main tere raston par para rahoon

yahi ji main hai tere sher main
kabhi aise ghoomo gali gali
tera naqash e paa mere sath ho

Hammd By Amjad Islam Amjad | kabhi jo ghor se daikhain

khala andar khala pheli hui be nam wushat main
kabhi jo ghor se daikhain
to such much hamare is qadar nazdeek lagta hai
ke jese agar hum chain to usko choo bhi sakte hain

falak ke bekarani main
sitare uske namo ka dilon main wird karte hain
to uski hamad ki khushbooz main tak ane lagti hai

Wednesday 29 April 2015

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi

us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi

sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi

mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi

wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi

Saturday 11 April 2015

Muhabbat | Love Poetry By Amjad Islam Amjad

Muhabbat os ki soorat
piasi pankhari ke hont ko serab krti hia
gulon ki asteeno main anokhe rang barti hai
seher ke japatne main , gungunati, muskurati, jagmagati hai
muhabbat ke dino main dasht bhi mehsoos hota hi
kisi firdos ki soorat
muhabbat aos ki soorat

muhabbat khawab ki soorat
nigahon main utarti hai kisi mehtab ki sooorat
sitare arzoo ke is tarha se jagmagate hain
ke pechani nai jati dil e betab ki soorat
muhabbat ke shajar par khawab ke panchi utarte hain
to shakhain jaag uthti hain
thake hare sitare jab zameen se bat karte hain
tokab ki muntazir aankhon main
shamain jaag uthti han
muhabbat in main jalti hai charag e ab ki soorat
muhabbat khawab ki soorat
!

muhabbat dard ki soorat !

guzishta mosmon ka istihara ban ke reti hai
shabane hijar main roshan sitara ban ke reti hai

muhabbat abar ki soorat
dilon ki sarzameen pa ghir ke aati hai or barasti hai
chaman ka zara zara jhoomta hai muskurata hai
azal ki be namo matti main sabza sar uthata hai
muhabbat unko bhi abad or shadab karti hai
jo dil hain qabar ki soorat
buje seeno main jalti hi to dil bedar hote hain
muhabbat ki tapish main kuj ajab asrar hote hain
ke jitna yeh barakti hia , uroos e jaan mehekti hai
dilon ke sahilon pa jama hoti hai or bikarti hai
muhabbat jaag ki soorat
muhabbt aag ki soorat

munderon pa charagon ki lowen jab thar-tharati hain
nagr main naumeedi ki hawain sunsunati hain
gali main jab koi ahat koi saya nai reta
dukhe dilon ke lieye jab koi bhi dhoka nai rata
gamon ke boj se jab tootne lagte hain shane to
yeh un pa hath rakhti hai
kisi hamdard ki soorat!

guzar jate hain sare qafle jab dil ki basti se
fiza main terti hai dare tak
yeh gird ki soorat
muhabbat dard ki soorat

Mosam Acha Hai | Amjad Islam Amjad

rang dhanak ne bikhray hain mosam acha hai
gaye zamane yaad aye hain mosam acha hai

aankhain, chehre, khushboo, wade, aansoo, yadain, phool
aik ik karke lout aye hain mosam acha hai

sham e shafaq ki ser bahane tum bhi aajao
dost purane sab aye hain mosam acha hai

tere jamal se aankhain meri haseen hain

tere jamal se aankhain meri haseen hain
tere khayal se dil main charagh jalte hain

Thursday 9 April 2015

Faraz karo hum tare hote | Amjad Islam Amjad

Faraz karo hum tare hote
aik dooje ko door door se daikh kar jalte bujte
or phir aik din
shakh e falak se girte or tareek khalaon main kho jate!
darya ke do dhare hote
apni apni mouj main bete
or samander tak is andhi wehshi or munh zor musafat ke jado main
tanha rete
faraz karo hum bhor sime ke panchi hote
urte urte ik dooje ko choote or phir
khule gugan ki gehri or be sarafa aankhon main kho jate
abar e bahar ke jhonke hote
mousam ke ik be naqsha se khawab main milte
milte or juda hojate
khushak zameeno ke hathon pa sabaz lakeerain kunda karte or
an daikhe sapne
bote
apne apne aansoo ro kar chain se sote
faraz karo hum jo kuch ab hain wo na hote?

Wednesday 8 April 2015

sab tumare lieye | Love Poetry By Amjad Islam Amjad

sab tumare lieye
jan e jan yeh jahan , yeh zameen aasman
ye mere rat din . khak hain tere bin
yeh meri zindagi, dosti dushmani
raste, waste, sab tumare lieye
sab tumare lieye'
tum jo daikho to mere  shab o roz ko
koi matlab miley
tum jo poocho to mere har ik harf ko
koi rutba miley
tum jo socho mere waste kuj bhi
main sitaron ko muthi main bar laonga
tum agar aik din muj ko awaz do
main jahan par bhi hoon, lot aoga
yeh mere jism o jan mere sher o sukhan
meri tanhaiyan
bazam araian

ab tumare liey
sab tumare lieye

amjad islam amjad

Saturday 4 April 2015

Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,

Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye,

Ishq woh "turfa-balaa" hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,

Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye,

Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat,
Kese mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye,

Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai,
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,

Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer,
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,

Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad,
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye..
 
 
Blogger Templates