Social Icons

Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts

Monday 13 April 2015

Kuch tum se mohabat aisi thi


Kuch tum se mohabat aisi thi.
Hum batein karna bhool gaye!

Kuch or hi hum ne keh dala.
Jo kehna tha wo bhool gaye!

Hum ne to kaha tha lout aana.
Par tum to aana bhool gaye!

Huwi Rat, falak par tary thy.
Hum diya jalana bhool gaye!

Mein sahil par betha hi raha.
Tum kashti lana bhool gaye!

Ab kaisa gila main tum se karon.
Jab naseeb hi mujh ko bhool gaye!

Hum tum se khafa bethy hi rhe.
Tum hum ko mana'na bhool gaye...

Ho chuka ab kisi ka wo Kabhi meri ZINDAGI tha wo

     (GAZAL)
Ho chuka ab kisi ka wo

Kabhi meri ZINDAGI tha wo

kon bhulta hay PEHLI MUHABBAT

Meri sari khushi tha wo

Phoolon ki trha muskurata tha

Mere honton Ki hansi tha wo

Baad barson dekha tha usy

Aj b utna he haseen tha wo

Zindagi jis k naam krdi Aye dost

Afsos log kehtay hain ajnabi tha woh.                        

Friday 10 April 2015

Itna toota hon k choonay sy bikher jaon ga

   *BEST GAZAL*

Itna toota hon k choonay sy bikher jaon ga...

*Ab agar aur azmao gy to mar jaon ga,..

*Phool reh jain gy faqat guldanoon ki nazar..,

*Mein to khushboo hoon hawaoon mein bikher jaon ga,..

*Eik aarzi musafir hon mein teri kashti mein,..

*Tu jahan mujh sy kaho gy mein uter jaon ga,..

*Hath pakro gy to saya ban k sath rahon ga ""DOST,

*Hath choro gy to humesha k liye bicher jaon ga

Main dard ki ek kitab hon Mujhy kya kro Gey khol ker

Main dard ki ek kitab hOn
Mujhy kya krO
Gey khOl kr

Mery wark wark pe Ashq hain
Mari Be_basi k
khayal hain

Mujhy zindagi se Gilla Nahi Jisay
chaha tha wO tO milla Nahi

Lagi chOt dil pe
Jo ishq ki
Abhi zakham wO tO
bhara Nahi

Mery hOslay ka kamal dekh
Mari saadgi ka Jamal dekh

Jis shakhs Ne mujkO bhula diya
us shakhs
se mujkO Gilla
Nahi

Rahay khush sada bus hai Duaa
    "Ay AJNABI"
Mari Qismat
me wO tha Nahi
Shayd Is liye mujhe milla Nahi:...

""""""

Kisi bhi mor, Ya, Agly mor pr

Kisi bhi mor,
Ya,
Agly mor pr,

Juda hi hum ko hona hy,
To phir aao..

Yahin apny asaason ko
alag kr len..

Ye jitny zakhm,
DIL per hain,

Idhar,
Meri traf kr do,

K tum,
Aksar ye kehty thy,

Ye sab,
Meri badolat hain..

Magar thehro..

Zara thehro..

Yahan,
Kuch khawab bhi hon gy,

Jo,
Mil k hum ny dekhy thy..

Suhany khawab,
Tum rakh lo,
Adhoory sab,
Mujhy dy do,

K meri,
Yun bhi aadat hy,

Mujhe,
Tooti hui cheezon sy,
Ek Be'nam mohabbat hai...

SuNa Tha JaShn hOga Aur Ghar Ghar RoShni hOgi

SuNa Tha JaShn hOga Aur Ghar Ghar RoShni hOgi,

NhiN MalOoM Yeh TaQreeb Kub Tak Multavi hOgi.

TulOo'-e-Sub'h-e-SaadiQ ki ChaMak KuChh Aur hOti he,

TuMhen Dhoka Hua hOGa, KaheeN Bijli Giri hOgi.

Mery Jurm-e-Wafa ka Faisla KuChh Is Trah hOga,

Saza Ka Hukm Fori Aur Sama'at SarSari hOgi.

Yeh Be'Maqsad Safar Ab Khatm Ho Jaay To Achha he,

Na TuM Se Rahbari hOgi Na HuM Se Peirwi hOgi.

HuMen Darbaar-e-Shaahi Tk Na Le Jao To Achha Hy

Hamara Kuchh Na Jaay Ga, Tumhen Sharmindagi hogi.


Thursday 9 April 2015

bana gulab to kanta chuba gaya aik shakhas

bana gulab to kanta chuba gaya aik shakhas
hua charagh to ghar he jala gaye aik shakhas

tamam rang mere or sare khawab mare
fasana the ke fasana bana gaya aik shakhas

main kis hawa main uroon kis fiza main lehraon
dukhon ke jal har ik soo bicha gaya aik shakhas

muhabtain bhi ajab uski nafratain bhi kamal
meri hee tarha ka muj main sama gaya aik shakhas

muhabtaon ne kisi ki bula rakha tha use
mile wo zakham ke phir yaad agaya aik shakhas

khula yeh raz ke ayena khana hai aik shakhas
or is main muj ko tamasha bana gaya aik shakhas

palat sakoon main na age hee bar sakoon jis par
muje yeh kon se raste laga gaya aik shakhas

Dasht e Ulfat Me Meri Chahat Se inkaar Tha Usay

Dasht e Ulfat Me Meri Chahat Se inkaar Tha Usay

Hamain Youn Laga Kisi Aur Se Pyaar Tha Usay

Apni Mohabbat Se Mujhy Aashna Kare Na Kary

Apni Zeest Pe Mukamal ikhtiyaar Tha Usay

Ghar Jala Kar Mera Mujh Ko Dua De Gaya

Mery Lutny Me Hi Shayed Kuch Qaraar Tha Usay

Mujh Se Mil Kar B Nigahein Kahin Bhatakti Thi Us Ki

Jaisy Sadyon Se Kisi Aur Ka intizaar Tha Usay

Sard Raaton Mein Aksar Milny Aa Jata Tha Wo DOST

Meri Mohabat Par itna To Itebar Tha Usy.

Wednesday 8 April 2015

koi aansoo tere daman par gira kar

apne honton pa sajana chata hoon
aa tuje main gungunana chata hoon

koi aansoo tere daman par gira kar
bond ko moti banana chata hoon

bar gai is had tak be aitmadi
tuj ko bhi tuj se chupana chata hoon

thak gaya main karte karte yaad tuj ko
ab tuje main yaad ana chata hoon

is liey ki hai tarap ki tamana
raqas karne ka bahana chata hoon

aakhri hichki tere zanon par aye
mout bhi main shairana chata hoon

chaa raha hai sari basti pa andhera
roshni ko ghar jalana chata hoon

phool se peker to nikle be murawat
pathron ko bhi azmana chata hoon

reh gai thi kuj kami ruswaion main
phir QATEEL us dar pa jana chata hoon

Tuesday 7 April 2015

Tere khushboo main base khat main jalata kesey

Tere khushboo main base khat main jalata kesey
piayar main doobe huey khat main jalata kesey
tere hathon ke likhe khat main jalata kesey
jinko dunia ke nigahon se chupaey rakha
jinko aik umar kaleje se lagaey rakha
deen jinko jinko iman banaey rakha
tere khushboo main base khat main jalata kesey
jinka har lafaz yaad muje pani ki tarha
yaad the muj ko jo bela main zubani ki tarha
muj ko payare the jo anmole nishani ki tarha
tere khushboo main base khat main jalata kesey
too ne dunia ke nigahon se jo bach ke likhey
sal ha sal , mere naam barabar likhey
kabhi din ko to kabhi raat ko uth kar likhey
tere khushboo main base kaht main jalata kesey
piayar main doobe kuey khat main jalata kesey
tere hathon ke likhey khat main jalata kesey
tere khat main aaj ganga main baha aya hoon
aag betey huey pani pa laga aya hoon

Yun Kehny Ko To Hum, Bary KhuSh Mizaj Hain

Yun Kehny Ko To Hum, Bary KhuSh Mizaj Hain..!!

    !!.. Magar ..!!

Rula Deti Hy, Kise K Pyar Ki Hasrat Kabhi Kabhi..!!

Be Khauf Hath Main Khanjar Liye Nabzz Kaat Di

Be Khauf Hath Main Khanjar Liye Nabzz Kaat Di Usny..!!



Khatt Ky Akhir Main Likha Tha Tumhen Zindagi Mubarik..!!

Tujhe Khabar Nahi Hum Dekh Kar Bauht Roye

Tujhe Khabar Nahi  Hum Dekh Kar Bauht Roye,

Nayi Kitaab Mein Tasveer Ek Puraani Teri …!

Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap

Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap,
Wo mere dil ki deewaarein hila gaya chup chaap.

Ghum-e hayat ke taptey hue biyabaan mein,
Humein chhod ke woh tanha chala gaya chup chaap.

Na jaane kaun sa woh badnaseeb lamha tha,
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap.

Main jis ko chhooti hun woh zakhm deta hai,
Woh phool aise chaman mein khila gaya chup chaap… !!

Monday 6 April 2015

Aaj Phir Teri Yaad Ne Cheen Liiya Hosh o Hawaas

Aaj Phiiir Teriii Yaad Ne Cheen Liiiya H0osh-O-Hawaas,,,
_



Fanaa H0o JayenGe Hum Agar Yahiii SiiiLsiiila raha


itna toota hon ke choonay se bikhar jaonga

   *BEST GAZAL*

Itna toota hon k choonay sy bikher jaon ga...


*Ab agar aur azmao gy to mar jaon ga,..

*Phool reh jain gy faqat guldanoon ki nazar..,

*Mein to khushboo hoon hawaoon mein bikher jaon ga,..

*Eik aarzi musafir hon mein teri kashti mein,..

*Tu jahan mujh sy kaho gy mein uter jaon ga,..

*Hath pakro gy to saya ban k sath rahon ga ""DOST,

*Hath choro gy to humesha k liye bicher jaon ga.

Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua

Ab  kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua,
iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua.

Ye hijr-hawa bhi dushman hai iss naam ke saare rangon ki,
woh naam jo mere honthon par khushboo ki tarah aabaad hua.

Uss shehar mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhool gaye,
ek shakhs kitaabon jaisa tha woh shakhs zubaani yaad hua.

Woh apne gaaon ki galiyaan thi dil jin mein naachta gaata tha,
ab iss se farq nahin padta nashaad hua ya shaad hua.

Benaam sataaish rehti thi in gehri saanwali aankhon mein,
aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua. !

Aazadion ke nam pa ruswaian milin


Aazadion ke nam pa ruswaian milin
mushkil se tere dard ki panhaian milin

saqi ne jhoot bola hai fasl e bahr ka
gulshan main siraf apki angraian milin

tuj ko mile hain qaria mehtab main garhe
hum ko to pathar main bhi rahnaian milin

inpar nisar mehfil e hasti ki ronaqin
aye dost mehkade mai jo tanhain milin

har tajrbe main saghir meh ka jawaz hai
far falsafe main zulaf ki gehrain milin

Sunday 5 April 2015

Dard Se Beniaz Hone De | Mohsin Naqvi

Dard Se Beniaz Hone De

Ay Shab-E-HIJAR Kuch To Sone De,

Rukhsat Ay Habs-E-Sham-E-Zabat-E-Junoon,

Rone Walon Ko Khul K Rone De,

Aaj Ik Sar Khuroo Se Milna Hai,

Aaj Aankhein Lahoo Se Dhone De,

Kash Koi Hamein Bhi Ashak Apne,

Sans K Tar Mein Prone De,

Fasal-E-Yakh Bastagi Mein Jeena Hai,

Paniyon Mein Sharar Bone De,

Kuch To Soch Apne Hall Par MOHSIN,

Khud Ko Youn Raigan Na Hone De

Aaj roothe hue sajan ko bohot yaad kia

Aaj roothe hue sajan ko bohot yaad kia
apne ujre hue gulshan ko bohot yaad kia

jab kabhi gardish e taqdeer ne gera hai muje
gesu e yaar ki uljhan ko bohot yaad kia

shama ki jot pa jalte hue parwano ne
ik tere shola e daman ko bohot yaad kia

jis ke mathe pa nai subh ka jhoomar hoga
hum ne us waqat ki dulhan kobohot yaad kia

aaj toote hue sapno ki bohot yaad aai
aaj beete hue sawan ko bohot yaad kia

ham sar e toor bhi mayoos tajali hee rahe
is dar e yaar ki chilman ko bohot yaad kia

mutmain ho hee gaye dam o qafas main saghir
hum aseero ne nasheeman ko bohot yaad kia
 
 
Blogger Templates