ashk rawan nai nidamat ke phool hain
roothe hue bahar se rehmat ke phool hain
hain dagh haye dil ki shabahat lie hue
shayad yahi wo bagh muhabbat ke phool hain
dasne lagi han shakh e tamana ke konplain
ruswaion ke khar masheeat ke phool hain
raqsan hain rang rang khiaban zindagi
panhan kahanion main haqeeqat ke phool hain
dewangah ka kul saqi se mangiye
wahshat ki wadion main farasat ke phool hain
kehte hue sune han sukhan ashna e waqat
Saghir ke sher e bazam latafat ke phool hain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin