Social Icons

Sunday 22 March 2015

Quran Kareem Quotes | Urdu Quotes Of Holly Quran





  • aurton se husssan e muhashirat se guzara karo
  • aurat ka bhi tum pe aisa haq hai jesa tumara un pa
  • ehle iman ke dil Allah ke zikar se sakoon pate hain . khabar dar raho ke dilon ka chain Allah ke zikar main hai
  • mulak ma fasad na phelao
  • waldain rishtadaro , maskeeno , musafiro se acha salook karo
  • besharmi ki batain khuli hoon ya chupi hui inke pas na bathko
  • na haq sarkashi na karo
  • fazool kharchi karne wale shetan ke bahi hain
  • Allah ke nazdeek woi hai jo zayada prezgar hai
  • Allah ki yad azeem cheez hai
  • Allah hee tumara malik hai or wo sab se acha madadgar hai
  • jo innsan naik amal karta hai wo apne lie karta hai Khuda is se be niaz hai
  • kisi par zulam zayadti na karo
  • har hal main insaf karo 
  • achi bat kehna or dar guzar karna aisi kherat se beter hai kis ke bad aazar pohanchaya jaye
  • na haq tareeqe se apne malo ko na khao
  • Allah ehsan karne wale ko dost rakhta hai 
  • behtreen zad e rah taqwa hai 
  • Allah unko dost nai rakhta jo fasad karte hain . kheti ujarte hain or naslo ko hilak kerty hain
  • na tum zulam karo na tum pa zulam kiya jae ga
  • tum mutafariq na ho bulke Allah ki rasi ko mazbooti se thame rakho
  • apne siwa kisi ko bheedi na banao ku ke doosre tumari tabahi main kotahi nai karain ge
  • tawakal karna momin ka farz hai or Allah inki madad ko yaqeeni karta hai
  • Allah unko dost rakhta hai jo doosro pa rehemm karte hain
  • Allah shukar guzaron ko badla deta hai or jaza milti hai or wo shakhas jo dunia ka badla chae ha hum isko is main dain ge or jo akhirat ka sawab chaey ga hum ise is main dainge
  • Jo Allah ki rah main marte hain wo murde nai hain wo zinda hain or apne rab se rizaq hasil karte hain or khuda ke fazal se mala mal hain or khush'khabri pate hain 
  • aye logo ! jo iman laye ho sabar karo , or sabar dilao or kamar basta raho or Allah se daro taa'ke falah pao
  • hum tumari badian door karke tumain izzat bakhshain ge agar tum mamnoohat se ijtinab karo
  • Allah unko dost nai rakhta jo takabur wale hain or bukhal wale han
  • shukar guzari mai jo lutaf chupa hai uska shukar-guzar ko ilam nai
  • aasman ko buland kiya or meezan adal qaim kiya meezan ada; poore adal insaf se qaim karo jis main kisi kami beshi ki gunjaish na ho
  • monino ! apne sadqe ko ehsan jata kar or doosre ko zarrar de kar zaya na karo 
  • monin wo hain jo har hal main Allah ko yaad karte hain or zameeno or asmano ki pedaish par dehan dete hain 
  • AAP (SAW) k rab ne ye qathi or akhri faisla kar dia hai ke uske bagair kisi ki ibadat na ki jaye or iske bad maan bap par ehsan kia jaye
  • aulad ki parwarish or tarbiat ka khaas khayal rakho . aakhirat main aulad se itminan pao ge
  • agar tumare darmian kisi bat pa jagra hoto Allah or uske rasool ki taraf lota do

1 comment:

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates