Social Icons

Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts
Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts

Saturday 4 April 2015

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo | Allama Iqbal RA

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy

Anjam ka ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye

Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna

Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy

Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna De.

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna De.
Jo Qalb Ko Garma De Jo Rooh Ko Tarpa De.

Phir Vadi-e-faran Ke ,har Zarray Ko Chamka De.
Phir Shok-e-tamasha Dey Phir Zoq-e-taqaza De.

Mehroom-e-tamasha Ko Phir Deeda-e-beena Dey
Dekha Hai Jo Kuch Main Ne Aoron Ko Bhi Dikhla De.

Batkay Howe Aahoo Ko Phir Soyay Haram Lay Chal
Is Shehr Kay Khogar Ko Visatay Sehra Dey

Paida Dilay Verran May Phir Shorish Mehsher Kar
Is Mahfile Khali Ko Phir Shahiday Laila Dey

Is Daur Ki Zulmat Main Har Qalb-e-pareshan Ko
Woh Daag-e-mohabbat Dey Jo Chaand Ko Sharma Dey

Rifat Maqasid Ko Hum Rosh Zulakha Kar
Khudaryay Sahil Day Aazadiyay Darya Day

Bay Los Mohobat Ho Bay Baak Sadaqat Ho
Senu May Ujala Kar Dil Surati Mina Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Jo Qalb Ko Garma Dey Jo Rooh Ko Tarpa Dey
.................

Shaheed-E-Mohabbat Na Kafir Na Ghazi,

Shaheed-E-Mohabbat Na Kafir Na Ghazi,
Mohabbat Ki Rasmain Na Turki Na Taazi,

Wo Kuch Aur Shay Hai Mohabbat Nahi Hai,
Sikhati Hai Jo Ghaznavi Ko Ayazi,

Ye Johar Ka Agar Farma Nahi Hai,
To Hain Ilm-O-Hikmat Faqt Sheesha Sazi,

Na Mohtaj-E-Sultan Na Maraoob-E-Sultan,
Mohabbat Hai Azadi-O-Be'niyazi,

Mera Fuqar Behtar Hai Sikandari Se,
Ye Adam Gari Hai Wo Aaina Saazi.

Thokar Lagi To MuQaddar Pe Ja Gira,,

Thokar Lagi To MuQaddar Pe Ja Gira,,
Phir Huwa yoon Aaina Pathar Pe Ja Gira,,

Ehsaas e Farz Jab Bhi Huwa Neend Aagai,,
Chalna Tha Pul e Sirat Pe Bistar Pe Ja Gira,,

Bazi Muhabatoon Ki Jahalat Ne Jeet Li,,
Wo Ban Gaya Khateeb Jo Nunabar Pe Ja Gira,,

Khushbo Qusoor War Nahi Usey Chor Do,,
Main Phool Tor'ta Hua Kantoon Pe Ja Gira,,

Saharoon Mein Liye Phira ?IQBAL? Pani Ki Justajo,,
Jab Pyaas Marr Gayi To Samundar Pe Ja Gira

Hum Se Sari Umar Yehi Ghaltiyaa'n Hoti Rahi "IQBAL"

Hum Se Sari Umar Yehi Ghaltiyaa'n Hoti Rahi "IQBAL"

Dhool Chehre Par Thi Or Hum Aina Saaf Karte Rahe…

Tum Ne Dil Ki Baat Keh Di Aaj Ye Acha Huwa

Tum Ne Dil Ki Baat Keh Di Aaj Ye Acha Huwa
Hum Tumhein Apna Samjhtey Thay Bara Dhoka Huwa

Jab Bhi Hum Ne Kuch Kaha, Us Ka Asar Ulta Huwa
Aap Shaayad Bhooltey Hain, Bar-Ha Aisa Huwa

Aur Hum Karte Bhi Kiya Tark-e-Taalluq K Siwa
Hum Ko Khud Hairat Hai, Ye Baithey Bethay Kiya Huwa

Ab Bhi Baaqi Hai Tumhaarey Dil Mein Thorra Sa Khaloos
Is Se Pehley Bhi Humain Aksar Yehi Dhoka Huwa

Aap Ki Aankhoon Main Ye Aansoo Kahaan Se Aa Gai
Hum To Dewaane Hain Lekin Aap Ko Ye Kiya Huwa

Is Shikr-Runji Se Kiya Hasil Huwa Khud Sochiye
Aap Bhi Ruswa Huwe, Na-Cheez Bhi Ruswa Huwa

Ab Kisi Se Kiya Kahain IQbaal Apni Dastaan
Bus Khuda Ka Shukar Hai Jo Kuch Huwa Acha Huwa
......

 
 
Blogger Templates