Social Icons

Saturday 4 April 2015

Aik wada hai jo kisi ka wafa nai hota

Aik wada hai jo kisi ka wafa nai hota
warna in taro bari raton main kia nai hota

ji me ata hai ulat dain unke chere se naqab
hosla karte hain magar hosla nai hota

shama jis ki abro pa jan dede jhom kar
wo patanga jal to jata hai fana nai hota

ab to muddat se rah o rasam nizara band hai
ab to inka toor par bhi samna nai hota

har bikari paa nai sakta muqam e khawjgi
har kas o naqis ko tera gham ata nai hota

bar-ha daikha hai saghir rehguzar e ishq main
karwan ke sath aksar rehnuma nai hota

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates