Social Icons

Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts
Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts

Tuesday 14 April 2015

yon lage dost tera mujhse khafa ho jana

yon lage dost tera mujhse khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana

ahl-e-dil se ye tera tark-e-ta'alluq
waqt se pahle asiron ka riha ho jana

yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mojza tere wade ka wafa ho jana

zindagi main bhi chalunga tere piche-piche
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana

jane wo kaun si kaifiyat-e-gamkhwari hai
mere pite hi "Qateel" us ko nasha ho jana

Monday 13 April 2015

Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe

Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe
Qateel Mere Samney Chura Liya Gaya Mujhe
Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Siyahiyan Bikhar Gaen
To Roshni Ke Wastey Jala Liya Gaya Mujhe
Barah-E-Rast Rabta Na Mujhse Tha Qabool Unhain
Likhwa Ke Khat Raqeb Se Bula Liya Gaya Mujhe
Jab Un Ki Deed Ke Liye Khara Tha Main Kataar My
 Na Jane Kyon Kataar Se Hata Liya Gaya Mujhe
Mein Rondney Ki Chez Tha Kisi Ke Paon Se Magar
Kabhi Kabhi To Zulf Mein Saja Liya Gaya Mujhe
Poucha Gaya Wafa Hai Kya? Jawab Tha K Zindagi..
Qateel Piyar Se Galey Laga Liya Gaya Mujhe

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe


Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe

Wo Meharbaa Hai Tho Ikraar Kyoo Nahin Kartha
Wo Badgumaa Hai Tho Soo Baar Aazmaaye Mujhe

Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe

Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon Qateel
Gham-E-Hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe

Thursday 9 April 2015

apne hathon ki lakeeron main saja le muj ko

apne hathon ki lakeeron main saja le muj ko
main hoon tera to naseeb apna bana le muj ko

mai jo kanta hoon to chal muj se bacha kar daman
main hoon gar phoon to jore main saja le muj ko

main khule dar ke kisi ka ghar hoon saman piayare
too dabe paon ake chura le muj ko

tark e ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
too kabhi yaad to kar bhoolne wale muj ko

muj se poochne aya hai wafa ke manhi
yeh  teri sada dili mar na dale muj ko

Wednesday 8 April 2015

koi aansoo tere daman par gira kar

apne honton pa sajana chata hoon
aa tuje main gungunana chata hoon

koi aansoo tere daman par gira kar
bond ko moti banana chata hoon

bar gai is had tak be aitmadi
tuj ko bhi tuj se chupana chata hoon

thak gaya main karte karte yaad tuj ko
ab tuje main yaad ana chata hoon

is liey ki hai tarap ki tamana
raqas karne ka bahana chata hoon

aakhri hichki tere zanon par aye
mout bhi main shairana chata hoon

chaa raha hai sari basti pa andhera
roshni ko ghar jalana chata hoon

phool se peker to nikle be murawat
pathron ko bhi azmana chata hoon

reh gai thi kuj kami ruswaion main
phir QATEEL us dar pa jana chata hoon

 
 
Blogger Templates