dil main or to kiya rakha hai
tera dard chupa rakha hai
itne dukhon ki taiz hawa main
dil ka deep jala rakha hai
dhoop se cheron ne dunia main
kiya andhera macha rakha hai
is nagri ke kuch logon ne
dukh ka nam dawa rakha hai
wahda yaar ki bat na chero
yeh dhoka bhi khaa rakha hai
bhool bhi jao beeti batain
in baton main kiya rakha hai
chup chup kiyon rete ho nasir
yeh kiya rog laga rakha hai
Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts

Friday, 17 April 2015
Tuesday, 14 April 2015
Hoti Hai Tere Naam Se Vahashat Kabhii Kabhi

Bar_Ham Hu_Ii Hai Yuu.N Bhii Tabiiyat Kabhii Kabhi
Ai Dil Kise Nasiib Ye Taufiiq-E-Iztiraab
Milatii Hai Zindagii Me.N Ye Raahat Kabhii Kabhii
Tere Karam Se Ai Alam-E-Husn-E-Aafrii.N
Dil Ban Gayaa Hai Dost Kii Khilvat Kabhii Kabhii
Dil Ko Kahaa.N Nasiib Ye Taufiiq-E-Iztiraab

Josh-E-Junuu.N Me.N Dard Kii Tugayaaniyo.N Ke Saath
Ashko.N Me.N Dhal Ga_Ii Terii Suurat Kabhii Kabhii
Tere Qariib Rah Ke Bhii Dil Mutama_Iin Na Thaa
Guzarii Hai Mujh Pe Bhii Ye Qayaamat Kabhii Kabhi
Kuchh Apanaa Hosh Thaa Na Tumhaaraa Khayal Thaa
Yuu.N Bhii Guzar Ga_Ii Shab-E-Furqat Kabhii Kabhii
Ai Dost Ham Ne Tark-E-Muhabbat Ke Baavajuud
Mahasuus Kii Hai Terii Zaruurat Kabhii Kabhii

Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya Kidher Gaya Wo,

Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairan Kar Gaya Wo,
Bas Ek Halki Jhalk Dikha Kar, Bus Ek Meethi See Dhun Suna Kar,
Sitara E Sham Ban Ke Aaya, Barang E Khewab E Sehar Gaya Wo,
Na Ab Wo Yadon Ka Charhta Drya, Na Fursaton Ki Udas Barkha,
Yunhi Zara Si Kasak Ha Dil Mein Jo Zakhm Gehra Tha Bhr Gaya Wo,
Shikasta Pa Rah Meinn Khara Hoon, Gaye Dinon Ko Bula Raha Hoon
Jo Qafla Mera Hamsafar Tha, Misal E Gard E Safar Gaya Wo,
Hawas Ki Bunyad Par Na Thehra Kisi Bhi Umeed Ka Gharonda,
Chali Zara Si Hawa Mukhalif,Ghubar Ban Ke Bikhar Gaya Wo,
Wo Hijar Ki Rat Ka Sitara,Wo Hamnafs Ham Sukhan Hamara,
Sada Rahe Us Ka Nam Pyara, Suna Hai Ke Rat Mar Gaya Wo,
Mera To Khon Ho Gya Ha Pani, Sitmgarun Ki Palak Na Bheegi
Jo Nala Utha Tha Rat Dil Se,Na Jane Kion Be Asar Gaya Wo,
Wo Jis Ke Shane Pe Hath Rakh Kar Safar Kiya Tu Ne Manzilon Ka
Teri Gali Se Na Jane Kion Aaj Sar Jhukae Guzar Gaya Wo,
Wo Rat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shair,Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak To Ham Ne Dekha,Phir Na Jane Kidhar Gaya Wo..

Monday, 13 April 2015
Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai
Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai
Magar Jine Ki Surat To Rahi Hai
Main Kyun Phirta Hun Tanha Mara Mara
Ye Basti Chain Se Kyon So Rahi Hai
Chal Dil Se Ummidon K Musafir
Ye Nagari Aj Khali Ho Rahi Hai
Na Samjho Tum Ise Shor-E-Baharan
Khizan Patton Main Chup K Ro Rahi Hai
Hamare Ghar Ki Diwaron Pe 'Nasir'
Udasi Bal Khole So Rahi Hai
Saturday, 11 April 2015
kiya zamana tha ke hum roz mila karte the

rat bhar chand ke hamrah phira karte the
jahan tanhaian se phor ke so jati hain
in makano main ajab log raha karte the
kar dia aaj zamane ne unhain bhi majboor
kabhi yeh log mere dukh ki dawa karte the
daikh ke jo hamain chup chap guzar jata haii
kabhi us shakhas ko hum payar kiya karte the
itafaqat e zamana bhi ajab hai Nasir
aaj wo daikh rahae hain jo suna karte the

Tuesday, 7 April 2015
Gham hai yaa khushi hai tu , meri zindagi hai tu
Gham hai yaa khushi hai tu
meri zindagi hai tu
aafton ke dour main
chain ki ghari hai tu
meri rat ka charagh
meri neend bhi hai tu
main khizan ki sham hoon
rutt bahar ki hai tu
doston ke darmian
wajah dosti hai tu
meri sari umar main
aik hee kami hai tu
main to wo nai raha
han magar woi hai tu
NASIR is dayar main
kitna ajnabi hai tu
Subscribe to:
Posts (Atom)