Social Icons

Showing posts with label Saghir Saddiqui. Show all posts
Showing posts with label Saghir Saddiqui. Show all posts

Friday 17 April 2015

tere daman ki hawa mangte hain

tere daman ki hawa mangte hain
hum bhi jeene ki dua mangte hain

banda parwar! koi kherat nai
hum wafaon ka sila mangte hain

phir patangon main khudai jagi
shuhla hashar numa mangte hain

sehen e kaba ke bichari machle
aasteeno main khuda mangte hain

mah o anjam ke jhroke saghir
kis ke ariz ki ziya mangte hain

phool jalte hain khaar jalte hain | Saghir Siddiqui

phool jalte hain khaar jalte hain
chandni ke mazar jalte hain

aye musawar ye kia tamasha hai
rang se shahkar jalte hain

mudataon se hai sard meh khana
der se meh gusar jalte hain

kuch patangey charag ki lo par
kitne be ikhtiyar jalte hain

tere anchal ki shokh chaon main
bekhudi ke charagh jalte hain

fikar saghir ki garmiyan mat pooch
is chita main nigar jalte hain
....................................

pholo ko aag lag gai naghmat jal gaye

pholo ko aag lag gai naghmat jal gaye
sooraj ki taiz dhoop mian lamhat jal gaye

ab daman e hayyat main kuch bhi nai raha
farda ki sard aag main halat badal gaye

kalyan chatak rahi hain ke shakhon pa abaley
gunchon ki nikhaton se mere hath jal gaye

saghir lute lute hian sitare buje buje
shayad mere naseeb ke din rat jal gaye

poocha kisi ne hal kisi ka to ro dieye


poocha kisi ne hal kisi ka to ro dieye
pani main akas chand ka aya to ro dieye

naghma kisi ne saz pa chera to hans pare
guncha kisi ne shakh se tora to ro dieye

urta hua gubar sar e rah daikh  kar!
anjam hum ne ishq ka daikha to ro diaye

badil fiza main apki tasweer ban gaye
saya koi khayal se guzra to ro dieye

rang shafaq se aag shagofon main lag gai
saghir hamare hath se chalka to ro dieye

preshan akas hasti aaina be noor daikha hai

preshan akas hasti aaina be noor daikha hai
meri aankhon ne afsurda charagh toor daikha hai

saroor o kaif ka mayar apni zat hai saqi
shrab door se mamoor har ik jam daikha hai

barri muddat se aashafta umeedain yaad karti hain
kaheen in bazam main yaro dil majboor daikha hai

yeh dastoor wafa sadion se raij hai zamane main
sada e qarab di jinko unhain ko door daikha hai

kaheen lakhat khane se Saghir bhook mit'ti hai
lahoo ke ghoont pee kar bhi koi makhmoor daikha hai

Tuesday 7 April 2015

Phool chaye the y amagar hath main aye pather

Phool chaye they amagar hath main aye pather
hum ne aghosh e muhabbat main sulaey pather

inke qadmon tale chand sitare daikhey
apni rahon main sulagte hue paye pather

main teri yaad ko youn dil main lieye phirta hoon
jese farhad ne seene se lagaey pather

fikar e saghir ke khareedar na bhoolain ge kabhi
main ne ashkon ke geher the jo banaey pather

bargashta yazdan se kuch bhool hui hai

bargashta yazdan se kuch bhool hui hai
bathke hue insan se kuj bhool hui hai

taa'had e nazar shole hee shole hain chaman main
pholon ke nigehban se kuch bhool hui hai

jis dor main lut jae faqeeron ki kamai
us dor ke sultan se kuch bhool hui hai

hasnte hain meri soorat mufton pa shagofey
mere dil e nadan se kuch bhool hui hai

hooron ki talab or meh o saghir se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhool hui hai

banwar ane ko hai aye ehl e kashti nakhuda chun lain

banwar ane ko hai aye ehl e kashti nakhuda chun lain
chitanon se jo takkar le wo sahil aashna chun lain

zamana keh raha hai main nai karwat badalta hoon
anokhain manzilain hain kuj nirale rehnuma hain


agar shamas o qamar ki roshni pa kuj ajara hai
kisi bedar mathe se koi tar ziya chun lain

aseeri main karain hussan gulistan ki nugahbani
qafas main baith kar tahir zara rang e fiza chun lain

 bagole nikhat gul ke numainde kahan saghir
sunain jo baat pholon ki wo hamraz saba chun lain

bazurgon ki duain mil rahi hain

bazurgon ki duain mil rahi hain
muhabbat ko sazain mil rahi hain

firozan hain tere gham ke deepak
bari roshan fizain mil rahi hain

shahoor bazam tak jinko nai hai
unhain rangeen qabain mil rahi hain

tere anchal hawa main urr raha hai
tarano ko nawain mil rahi hain

wafaon ka sila saghar watan main
bohot arzan jafain mil rahi hain

ban gaye ashak jafa ki tasweer

ban gaye ashak jafa ki tasweer
khinch gai aaj sada ki tasweer

phir buja nala o shewan ka sarood
raqas karti hai hayaa ki tasweer

ehtiat dil aashiq lazim
toot jati hai wafa ki tasweer

bol uthi teri leh main saghir
aasmano pa dua ki tasweer

Bhooli hui sada hoon muje yaad ki jieye

 Bhooli hui sada hoon muje yaad ki jieye
tum se kahan mila hoon muje yaad ki jieye

manzil nai hoon, khizar nai, rahzan nai
manzil ka rasta hoon muje yaad ki jieye

meri nigah e shouq se har gul hai dewta
main ishq ka khuda hoon muje yaad ki jieye

naghmon ki ibtida thi kabhi mere naam se
ashkon ki intiha hoon muje yaad ki jieye

gum sum khari hain dono jahan ki haqeeqtain
main inse keh raha hoon muje yaad ki jieye

saghir kisi ke hussan e tagaful shahar ki
behki hui ada hoon muje yaad ki jieye

badnami e hayyat de ranjoor ho gaye

badnami e hayyat de ranjoor ho gaye
aye yaar teri bat se ranjoor ho gaye

yazdan ke hadsat pa hum ne kiya yaqeen
apni shikast zat se ranjoor ho gaye

har rehguzar pa chor hain insaniat ke paon
sheeshe ki kainat se ranjoor ho gaye

murja ke raeh gai gham dashnam ki bahar
fasal e takalufat se ranjoor ho gaye

apno ne zindagi main harasan kiya hamain
geron ke iltifat se ranjoor ho gaye

saghir sakoon de gai dil ki kasak hamain
aksar khushi ki bat se ranjoor ho gaye

bahey jo ashk to daman ko gul faza jane

bahey jo ashk to daman ko gul faza jane
hum apne dard ki teson ko zamzama jane

zamana saz baharo use fareb na do
jo siraf apna zamane ko asra jane

hum aise bada kashon ka nai hain kaish koi
kabhi saboo ko kabhi apne apko Khuda ... jane

wo dil pa baraq tajalli gira ke chor gaye
ab is sulagrti hui aag ko khuda jane

Monday 6 April 2015

Aye Taghayar-e-Zamana Ye Ajeeb Dil Lagi Ha

aye taghayar e zamana ajeeb dil lagi hai
na waqar e dosti hai na majal dushmani hai

yahi zulmatain chini jo tere surkh aanchlon main
unhi zulmaton sse shayad mere ghar main roshni hai

mere sath tum bhi chalna mere sath tum bhi aana
zara gham ke raston main barri taiz tergi hai

har mushaida nai hai mere dil ki sada hai
mere dagh dil lute hain teri bazam saji hai

gham e zindagi kahan hai abi wahshaton se fursat
tere naaz utha hee lainge abi zindagi pari hai

wo guzar gaya hai saghir koi qafla chaman se
kaheen aag jal rahi hai kaheen rakh soo gai hai

aisi tajlian hain kahan aftab main

aisi tajlian hain kahan aftab main
anwar khas hain mere jam e sharab main

yazdan ne muskura ke barri dare main likha
aik lafaz arzoo mere dil ki kitab main

ab zoq e deed main hai shahoor hayaat e no
jalwon ko aitiat se rakho kitab main

mehboob tere hussan se ghanchoon ki aabroo
khusbboo tere labon ki basi hai gulab main

Saghir kisi ki yaad main jab ashkbar they
kitne haseen din the jahan e khrab main

Kaliyon Ki Mehek Hota Taron Ki Ziya Hota



Gur bata dainge badshahi ka

Gur bata dainge badshahi ka
hum faqeero se guftugoo karlo

Aazadion ke nam pa ruswaian milin


Aazadion ke nam pa ruswaian milin
mushkil se tere dard ki panhaian milin

saqi ne jhoot bola hai fasl e bahr ka
gulshan main siraf apki angraian milin

tuj ko mile hain qaria mehtab main garhe
hum ko to pathar main bhi rahnaian milin

inpar nisar mehfil e hasti ki ronaqin
aye dost mehkade mai jo tanhain milin

har tajrbe main saghir meh ka jawaz hai
far falsafe main zulaf ki gehrain milin

Sunday 5 April 2015

aye dewao kuch to bolo Saghar Sadiqui

aye dewao kuch to bolo
jhooti chup ke bandan kholo

shayad koi qalzam nikle
sehraon ki jaib tatolo

inka wada subh ka tara
yeh chingari man main chubolo

is shab ki majrooh seher tak
jalte rehna dil ke phapolo

rat ka panchi kehta jaye
din char aya hai aankhain kholo

sada pani meh ban jaey
saghir ke ashar ko golo

ankhain roshan hain jaib khali hai

ankhain roshan hain jaib khali hai
zulmaton mai kiran sawali hai

hadison ne rubab chere hain
waqat ki aankh lagne wali hai

hussan pathar ki aik moorat hai
ishq pholon ki aik dali hai

aaine se hazoor ke manind
chishm ka wasta khiali hai

mout aik ang'nabeen ka saghir hai
zindagi zeher ki piali hai
 
 
Blogger Templates