Social Icons

Showing posts with label Dard Poetry. Show all posts
Showing posts with label Dard Poetry. Show all posts

Tuesday, 19 May 2015

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Friday, 10 April 2015

Main dard ki ek kitab hon Mujhy kya kro Gey khol ker

Main dard ki ek kitab hOn
Mujhy kya krO
Gey khOl kr

Mery wark wark pe Ashq hain
Mari Be_basi k
khayal hain

Mujhy zindagi se Gilla Nahi Jisay
chaha tha wO tO milla Nahi

Lagi chOt dil pe
Jo ishq ki
Abhi zakham wO tO
bhara Nahi

Mery hOslay ka kamal dekh
Mari saadgi ka Jamal dekh

Jis shakhs Ne mujkO bhula diya
us shakhs
se mujkO Gilla
Nahi

Rahay khush sada bus hai Duaa
    "Ay AJNABI"
Mari Qismat
me wO tha Nahi
Shayd Is liye mujhe milla Nahi:...

""""""

Thursday, 9 April 2015

bana gulab to kanta chuba gaya aik shakhas

bana gulab to kanta chuba gaya aik shakhas
hua charagh to ghar he jala gaye aik shakhas

tamam rang mere or sare khawab mare
fasana the ke fasana bana gaya aik shakhas

main kis hawa main uroon kis fiza main lehraon
dukhon ke jal har ik soo bicha gaya aik shakhas

muhabtain bhi ajab uski nafratain bhi kamal
meri hee tarha ka muj main sama gaya aik shakhas

muhabtaon ne kisi ki bula rakha tha use
mile wo zakham ke phir yaad agaya aik shakhas

khula yeh raz ke ayena khana hai aik shakhas
or is main muj ko tamasha bana gaya aik shakhas

palat sakoon main na age hee bar sakoon jis par
muje yeh kon se raste laga gaya aik shakhas

Tuesday, 7 April 2015

badnami e hayyat de ranjoor ho gaye

badnami e hayyat de ranjoor ho gaye
aye yaar teri bat se ranjoor ho gaye

yazdan ke hadsat pa hum ne kiya yaqeen
apni shikast zat se ranjoor ho gaye

har rehguzar pa chor hain insaniat ke paon
sheeshe ki kainat se ranjoor ho gaye

murja ke raeh gai gham dashnam ki bahar
fasal e takalufat se ranjoor ho gaye

apno ne zindagi main harasan kiya hamain
geron ke iltifat se ranjoor ho gaye

saghir sakoon de gai dil ki kasak hamain
aksar khushi ki bat se ranjoor ho gaye

Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap

Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap,
Wo mere dil ki deewaarein hila gaya chup chaap.

Ghum-e hayat ke taptey hue biyabaan mein,
Humein chhod ke woh tanha chala gaya chup chaap.

Na jaane kaun sa woh badnaseeb lamha tha,
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap.

Main jis ko chhooti hun woh zakhm deta hai,
Woh phool aise chaman mein khila gaya chup chaap… !!

Sunday, 5 April 2015

Dard Se Beniaz Hone De | Mohsin Naqvi

Dard Se Beniaz Hone De

Ay Shab-E-HIJAR Kuch To Sone De,

Rukhsat Ay Habs-E-Sham-E-Zabat-E-Junoon,

Rone Walon Ko Khul K Rone De,

Aaj Ik Sar Khuroo Se Milna Hai,

Aaj Aankhein Lahoo Se Dhone De,

Kash Koi Hamein Bhi Ashak Apne,

Sans K Tar Mein Prone De,

Fasal-E-Yakh Bastagi Mein Jeena Hai,

Paniyon Mein Sharar Bone De,

Kuch To Soch Apne Hall Par MOHSIN,

Khud Ko Youn Raigan Na Hone De
 
 
Blogger Templates