Social Icons

Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Saturday 11 April 2015

Waste Land -Parveen Shakir |

tere bagair sard mosmon ke khushgawar din udas hain
fiza main dukh racha hua hai!
hawa koi udas geet gunguna rahi hai
phool ke labon pa payas hai
aisa lagta hai
hawa ki aankhain rote rote khushk ho gai hoon
saba ke dono hath khali hain
ke sher ma tera kaheen pata nai
sans lena kis qadar mahal hai
udasian---- udasian
tamam sabaz sayadar perro ne
tere bagair wahshaton main apne perhen ko tar tar kardia hai
ab kisi shajar ke jisam pa qaba nai
sookhe zard pate
koo ba koo teree talsh main bhatak rahe hain

Friday 10 April 2015

koi apni tanhai mere nam pe aabad kare

koi apni tanhai mere nam pe aabad kare
kon hoga jo muje uski tarha yaad kare

dil ajab sher ke jis par bhi khula dar iska
wo musafir ise har simat se barbad kare

apne qatil ki zahanat se preshan hoon main
roz aik mout naye tarz ki ijad kare

itna heeran ho meri be talbi ke aage
wah qafas main koi dar khud mera sayad kare

soch rakhna bhi jaraim main sahamil hai abto
woi masoom hai har bat pa jo sad kare

uski muthi main bohot roz rha mera wajood
mere sahir se kaho ab muje azaad kare

Wednesday 8 April 2015

sabaz madham roshni main surakh aanchal ki dhanak

sabaz madham roshni main surakh aanchal ki dhanak
sard kamre main machalti garam sanson ki mehek

bazon ke sakhat halqe  main koi nazuk badan
satoo main malboos par, aanchal bhi kuj dhalka hua

garmi e rukhsar se dehki hui thandi hawa
naram zulfon se mulaim unglion ki cher chaar

surkh honton pa shararat ke kisi lamhe ka akas
reshmain bahoon main choori ki kabhi madham khanak

kampte hue honton pa thi ALLAH se siraf aik dua
kash yeh lamhey ther jain ther jain ! zara !
 
 
Blogger Templates