Social Icons

Showing posts with label Mirza Ghalib. Show all posts
Showing posts with label Mirza Ghalib. Show all posts

Saturday 11 April 2015

Aah ko chaahie ek umr asar hone tak

Aah ko chaahie ek umr asar hone tak
kon jeeta hai teri zulaf ke sar hone tak

daam har mouj main hai halqa sad kam ning
daikhain kiya guzre hain qatre pa goher hone tak

aashqi sabar talab or tamana betab
dil ka kiya rang karon khoon e jigar hone tak

hum ne mana ke thaful na karo ge laikin
khaak ho jain ge hum tum ko khabar hone tak

gham e hasti ka asad kis se ho juz marg e ilaaj
shama har rang main jalti hai seher hone tak

Wednesday 8 April 2015

dil hee to hai na sang e wahshat , dard se bhar na aye kiyoun

dil hee to hai na sang e wahshat , dard se bhar na aye kiyoun
roin ge hum hazar bar koi hamain sataey kiyoun

dare nai haram nai dar nai aastan nai
bethe hain rahguzar pa hum , ghair hamain uthaey kiyoun

qaid e hayaat o band e gham asal main dono aik hain
mout se pehle admi gham se nijat paye kiyoun
 
 
Blogger Templates