zoq e nazar mile to ye dunia buri nai
kehte hain teri zulaf e preshan ko zindagi
aye dost ! zindagi ki tamana buri nahi
hai nakhuda ka meri tabahi se wasta
main janta hoon niat e daria buri nai
zoq e janoon ke sath hai bedari e khrd
shabnam ke sath garmi e shula buri nai
is rahzan hayyat zamane se door chal
mar bhi gaye to chadar e sehra buri nai
saghir ke sath chal ke kabhi mekade main sun
itni hadees bada o saghir buri nai
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin