In baharon pa gulistan pe hansi aai hai
dil ke har dag e frozan pa hansi aai hai
aaj phir jaam tahi or ghata uthi hai
aaj phir rehmat e yazdan pa hansi aai hai
meri beeghi hui palkon ki cham cham pa na jaa
tere toote hue peman pa hansi aai hai
jab kabhi bichra hua dost mila hi muje
muj ko ikhlas e azizan pa hansi aai hai
muj ko aik zeher ka chalka hua saghir dedo
muj ko is dore ke insan pa hansi aai hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin