Social Icons

Showing posts with label Ansoo Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ansoo Poetry. Show all posts

Friday 10 April 2015

Yeh Aansuon Ki Zakaat Mujh Pay He Farz Kiyon..

Yeh Aansuon Ki Zakaat
  Mujh Pay He
 Farz Kiyon..
           dost

 Wo Bhi To Kuch
  Adaa Karay
 Mohabbat Usay Bhi Thi.
 

Wednesday 8 April 2015

koi aansoo tere daman par gira kar

apne honton pa sajana chata hoon
aa tuje main gungunana chata hoon

koi aansoo tere daman par gira kar
bond ko moti banana chata hoon

bar gai is had tak be aitmadi
tuj ko bhi tuj se chupana chata hoon

thak gaya main karte karte yaad tuj ko
ab tuje main yaad ana chata hoon

is liey ki hai tarap ki tamana
raqas karne ka bahana chata hoon

aakhri hichki tere zanon par aye
mout bhi main shairana chata hoon

chaa raha hai sari basti pa andhera
roshni ko ghar jalana chata hoon

phool se peker to nikle be murawat
pathron ko bhi azmana chata hoon

reh gai thi kuj kami ruswaion main
phir QATEEL us dar pa jana chata hoon

Sunday 5 April 2015

Ya aansoo ye Gham kam nahi Hongy

Ya aansoo ye Gham kam nahi Hongy…

ye Yaaden Ye Lamhe Har pal Nahi Hongy…

Bitaa Liya Karo Kuch Pal Hans K Hmare Sath…

Bht Yaad Kro gay Jab hum nahi hoon gay…
 
 
Blogger Templates