khala andar khala pheli hui be nam wushat main
kabhi jo ghor se daikhain
to such much hamare is qadar nazdeek lagta hai
ke jese agar hum chain to usko choo bhi sakte hain
falak ke bekarani main
sitare uske namo ka dilon main wird karte hain
to uski hamad ki khushbooz main tak ane lagti hai
paharo par jami barfain
jo uske hukam ko sun kar safar ka aghaz karti hain
to unki aahatain paa kar
sulagti be namo-matti main sabza sar uthata hai!
samadar sahilon ke kan main sargoshiyan karne ko jukte hain
to chand unki madad ke waste raste banata hai
mere malik mere mahbood teri yeh zameen youn to
karoron kehkashaon ke muqabil main kuch aise hai
ke jese rait ka ik benishan be khanuman zarra
ke jo sehraon mai gum ho!
magar too ne !
use jan se likha us admi zade ki qismat main
sharaf bakhsha niabat ka
me makhfi jo khazana tha wo sab par munkashaf hole
ke apna har amal insan, teri mezan par tole
magar malik ijazat ho
to main be ajaz yeh poochon
tere "KUN" ki haqeeqat ko yeh banda kis tarha khole?
mere charo traf too hain teri be anat wushat hai
main soochon to bhi kiya sochon, main daikhon to b kiya daikhon
samander ko samajne ki kahan hai qatre main taqat!!!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin