kaha dil ne , zara thero ke aisi hee sahat koi
hamare dar par theri the
to hum ne bheer se ik qafle ka roop dahara tha
chalo phir lout kar daikhain
wo khushboo se bara rasta
(jo manzil ki nishani tha) kahan khoya!
yeh jo uljan bare manzaer hamare sath chalte hain
kahan ke hain!
wo kesa more tha jis par
hamari rehguzar ke hashion pa dhund utri thi
yeh jo charo taraf pagad-nadion ka jal phela hai
kahan buniad hi iski
wo jo nisaf e safar main khawab ke tukre hue us main
hamari kaj rawi kiya thi! haduw(dushman) ka kitna hath tha!
safar ki ibtida main kon qatil the
jinhon ne adal ke tukre kieye or ashti ka khoon bahaya tha!
or unke bad jo aye wo kitne bad-irada the!!
main jab is khoj main nikla
ke mere mohsino ke khawab ka khooshboo bara rasta
kahan khoya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin