Social Icons

Saturday 11 April 2015

Muhabbat | Love Poetry By Amjad Islam Amjad

Muhabbat os ki soorat
piasi pankhari ke hont ko serab krti hia
gulon ki asteeno main anokhe rang barti hai
seher ke japatne main , gungunati, muskurati, jagmagati hai
muhabbat ke dino main dasht bhi mehsoos hota hi
kisi firdos ki soorat
muhabbat aos ki soorat

muhabbat khawab ki soorat
nigahon main utarti hai kisi mehtab ki sooorat
sitare arzoo ke is tarha se jagmagate hain
ke pechani nai jati dil e betab ki soorat
muhabbat ke shajar par khawab ke panchi utarte hain
to shakhain jaag uthti hain
thake hare sitare jab zameen se bat karte hain
tokab ki muntazir aankhon main
shamain jaag uthti han
muhabbat in main jalti hai charag e ab ki soorat
muhabbat khawab ki soorat
!

muhabbat dard ki soorat !

guzishta mosmon ka istihara ban ke reti hai
shabane hijar main roshan sitara ban ke reti hai

muhabbat abar ki soorat
dilon ki sarzameen pa ghir ke aati hai or barasti hai
chaman ka zara zara jhoomta hai muskurata hai
azal ki be namo matti main sabza sar uthata hai
muhabbat unko bhi abad or shadab karti hai
jo dil hain qabar ki soorat
buje seeno main jalti hi to dil bedar hote hain
muhabbat ki tapish main kuj ajab asrar hote hain
ke jitna yeh barakti hia , uroos e jaan mehekti hai
dilon ke sahilon pa jama hoti hai or bikarti hai
muhabbat jaag ki soorat
muhabbt aag ki soorat

munderon pa charagon ki lowen jab thar-tharati hain
nagr main naumeedi ki hawain sunsunati hain
gali main jab koi ahat koi saya nai reta
dukhe dilon ke lieye jab koi bhi dhoka nai rata
gamon ke boj se jab tootne lagte hain shane to
yeh un pa hath rakhti hai
kisi hamdard ki soorat!

guzar jate hain sare qafle jab dil ki basti se
fiza main terti hai dare tak
yeh gird ki soorat
muhabbat dard ki soorat

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates