Social Icons

Thursday, 9 April 2015

Faraz karo hum tare hote | Amjad Islam Amjad

Faraz karo hum tare hote
aik dooje ko door door se daikh kar jalte bujte
or phir aik din
shakh e falak se girte or tareek khalaon main kho jate!
darya ke do dhare hote
apni apni mouj main bete
or samander tak is andhi wehshi or munh zor musafat ke jado main
tanha rete
faraz karo hum bhor sime ke panchi hote
urte urte ik dooje ko choote or phir
khule gugan ki gehri or be sarafa aankhon main kho jate
abar e bahar ke jhonke hote
mousam ke ik be naqsha se khawab main milte
milte or juda hojate
khushak zameeno ke hathon pa sabaz lakeerain kunda karte or
an daikhe sapne
bote
apne apne aansoo ro kar chain se sote
faraz karo hum jo kuch ab hain wo na hote?

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates