Social Icons

Saturday, 16 May 2015

jalte the hont payas se, darya tha samne | Salam E Karbala

jalte the hont payas se, darya tha samne
laikin waqar e tashnagi, thera tha samne!

tanha ho jese koi diya aandion ke beech
aise wo is jajoom ke aya tha samne

khemon main aag, rait pa lashe pare huye
dhalti the dhop, sham thi, sehra tha samne

lakhon ki thi Hussain nazrain lagi huin
laikin waha to aik hee rasta tha samne!

yyeh bhi nai ke usko saza ki khabar na thi
hona tha jo bhi faisla likha tha samne

aik pal main roshni ke mani badal gaye
usne ajab charag sa rakha tha samne

likhta tha wo rait pa lahoo se payam e haq
dil ki har ik bat wo kehta tha samne


dast e yazeed main na diya hath aik bar
warna har aik gham ka madawa tha samne

tha sabar be-misal to jurrat thi be nazeer
us akhri nigah ne bhi , daikha tha samne

hazir the wahan salam ko tare bhi , ashak bhi
maqtal Hussain Ibn e Ali ka tha samne

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates