Tuesday, 19 May 2015
Bazurgon Ke Adab Ka Sila | Mugal Hukumat Ka Qisa
mugal badshah shah-jahan ke intiqal ke bad iski jana-sheeni kamasla khara hua iski waja yeh thi ke iske 2 bete the aik ka nam Aouragzaib tha or doosre ka nam darashikwa tha,dono main takhat nasheeni ke lieye raqabat peda ho gai.
alamger ko apne walid ki janasheeni or badshahat ki talab thi.or iske bahi ko b yahi talab thee, rayast ke
bare log kuch dara or kuch rangzaib ke haq mai baat karte the. Aurangzaib aik naik insan tha jabke dara shariat se mutabqat nai rakhta tha.iska hakumat mai wajood islam ki saltanat ke liey khatra tha, us zamane main ik mashoor bazurag the logon ne socha ke unkko is bazurag ke pas bejte hain jisko wo saltanat ka badshah banai ge hamain manzoor hoga. in bahio ne bhi yahi irada kiya ke jo faisla wo karain ge hamain manzoor hoga or usko qabool kiya jaye ga.
pehle dara inke pas dua ke liey pohancha is waqat wo takhat par bethe the unho ne dara se kaha yaha mere pas aao or takhat par betho
"dara ne kaha nai hazoor meri majall nai ke main apke pas takhat par bethon main yahi theek hoon neeche" unho ne phir usko bulaya or wo nai gaya or bat nai mani bazurag ne farmaya acha tumari marzi
dara ke jane ke baad Aurangzaib aye bazurag ne unko bulaya to wo unke pas gaye or waha beth gaye bazurag ne unko kuj naseehat farmai
logo ne poocha ke hazoor apne kiya faisla kiya to farmaya dara ne takhat ko khud thukra diya or aurangzaib ne usko qabool krliya or usko hukumat mile gi
aqal ka taqaza hai ke jab be koi bazurag ua bara insan hukam de to usko foran poora karna chaieye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin