Social Icons

Tuesday, 19 May 2015

Lahoo Ke Rishton Main Faraq Kiyoun

 main aisa sochta hoon ke aisa kiyou hota hai ke dolat ki jankar dilo se muhabatain nikal kar nafratian bar deti hai .apnaiat ke khush rang phoolon ki jaga beganiat ke zehreele kante danam main dal deti hai ye maya dewi itni zalim kiyoun hai ke apno ki pechan tak bula deti hai begano ki to bat alag hai sage khoon ke rishte tak bula deti hai riishto ka taqadus isstarha pamal kiya jata hai ke dil khoon ke ansoo rota hai.
Baaz auqat sage maan bap bhi aulad main faraq kar jate hain or yeh faraq zayada daikhne main wah aata hai jahan ameeri gareebi ka faraqa mouh khole khara ho . ghreeb aulad ameer aulad ke muqable main haqeer or
kamtar gardani jati hai jahan ameeri or gareebi mad e muqabil hon wahan maan bap ki muhabbat o shafqat ki jhankar b aage ajati hai waha aisa hee to hota hai ke shadi shuda aula ameer hoto usko ghar bethi bin-biayai aulad ke muqable main zayada beter tasawar kiya jata hai iska nateeja inthai behayank hota hai ke bin biyai aulad gar main band kothri main qadi hokar rehjati hai jabke beta ghar se baghi ho jata hai use jab ghar se payar muhabbat nai milti to wo freebi dunia main sakoon talash karne lag jata hai wo bhatak jata hai or juram ki dunia main chala jata hai.
main zamane se poochta hon iska zimadar koun hai? wo khud ya wo maan bap jinhon ne ameer aulad ke muqable main sada ise  kamtar samja or haqeer jana wo ghreebi ke nakarda jaraim ke nateeje main saza ke tour par muhabbat ki ik nazar or ik meethe bol ko taraste huey mayoosio ke andere main gum ho jata hai

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates