- 100 diraham main se 2.5 diraham ghreeb or duniadar ki zakat hai or siddiquon ki zakat tamam mal ka sadqa kar dena hai
- sadqa faqeer k samne ajzi se paish karna chieye ku ke khush dili se sadqa dena qabooliat ka nishan hai
- adal insaf har aik se khoob hai laikin khoobtar hai
- gunah se toba karna wajib hai maggar gunah se bachna wajib'tar hai
- muje naye kapro mai dafan nakiya jae inke mustahiq wo hain jo zinda hain or barhina hain
- gile or shikwe zuban se band rakho rahat naseeb hogi
- zamane ki gardish ajeeb hai or halat se ghaflat ajeeb tar hai
- perhez kero , perhez nafa deti hai , amal karo amal qabool hota hai
- is din pa aanso baha jo teri umarse kam ho gaya or is main naiki nai thi
- tumain is din pa rona chieye hjo tum nae naiki k bagair guzardia
- sabar main koi museebat nai or rone dhone main siwa nuqsan ke koi faida nai
- kisi aurat ya bucha ya apahach ko matt qatal karna
- mewa dar drakhat ko na katna
- fazool kharchi karna na he bukhal karna
- khof ilahi baqadar ilam hota hai or khuda se bekhafi baqadar e jahalat
- akhlas yeh hai ke amal ka awaz na kiya jaye
- jo ALLAH ke kam main lag jata hai Allah uske kam main lag jata hai
- insan zaheef hai , tahajub hai ke wo kiyou khuda e qawi ki nafarmani karta hai
- jis pa naseehat asar na kere wo samje ki uska dil iman se khali hai
- ibadat aik pesha hai , dukan iski khalwat , ras-al-mas iska taqwa hai or nafa iska janat hai
- jo amar paish ata hai wo nazdeek hai laikin mout is se ajeeb tar hai
- toba boore se khoob or jawan se khoob tar hai
- takabur karna ameero ka bad hai magar ghreebo ka bad'tar hai
- poora karna nimmaz ko sajda saw poora karta hai roza ko sadqa fitar poora karta hai haj ko fidya or iman ko jihad poora karta hai
- jise rone ki taqat na ho wo rone walo pa rehem kare
- zuban ko shikwa se rok khushi ata hogi
- hargiz koi mout ki tamana nai kare ga magar siwa uske jisko apne amal pe wasooq hoga
- har cheez ke sawab ka andaza hai magar sabr ke sawab ka koi andaza nai hai
- shukar'guzar momin hafiat sse qareeb tar hai
- tu dunia ke samano main sargaram hai or dunia tuje apne se nikalne main sargaram hai
- jiska sarmaya dunia hai iske deenka nuqsan zubanian bayan kerne se ajiz hai
- ilam ke sabab kisi ne khudai ka dawa nai kia siwae mal ke'
- aurton ko sone ki surkhi or zafran ki zardi ne hilak kar rakha hai
- jo shakhas ibtidae islam nai mar gaia wo bht khush-naseeb tha
- kash ma momin ki seene ka koi bal hota
- guftugu main ikhtisar se kam lo . kalam itna mufeed ho jitna asani se suna ja sake , tool kalami guftugu ka kuch hisa zeheno se zaya kardeti hai
- ilam peghambero ki meeras hai or mal firhon o qaroon ki
- wo ulama ALLAH k dushman hai jo umara ke pas jate hain or wo umara
- meri naseehat qabool karne wala dil mout se zayada kisi ko mehboob na rakhe
- momin ko itna kafi hai ke wo Allah se darta hai
- museebt ki jarr ki bunyad insan ki guftugoo hai
- shreef jab ilam parta hai to mutawaza ho jata hai or wazee jab parta hai to mutakabir ho jata hai
- bure hamnasheen se tanhai beter hai or tanhai se saalih ki suhbat beter hai
- talib deen umar mai zayadti karta hai or talib dunia ilam main
Monday, 23 March 2015
Hazrat Abu Bakr Siddique RA Quotes | Best Quotes Of Second Chaliph of Islam
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin