Social Icons

Sunday, 22 March 2015

Holly Prophet PBUH Quotes | Best Quotes Of Hazrat Muhammad SAW





  • aik sahat insaf ki barson ki ibadat se beter hai
  • wo shakhas be deen hi jis main deendari nai
  • wo shakhas be deen hi jis main ehed ki pabandi nai
  • jo log mayana rawi ikhtiar karte hain wo kisi ke mohtaj nai hote
  • buri majliss se perhez kero
  •  insan ki samajdari is main hai ke wo kafayat shar ho
  • anaj ko rok kar bechne wala lanti hai
  • aurat ki izzat shreef log karty hain or iski ahanat kameene log karte hain
  • sab se achi aurat wo hai jis ka shor usko daikh ke khush ho jaye
  • Allah ko manne ke bad sab se betreen danai insano se muhabbat karna hai
  • buland himati iman ki ilamat hai
  • Khuda buland umoor ko pasand or , ooche kamo ko na pasand karta hai
  • dolat mand pa hasad na karo , dolat ki laztain fani hain 
  • khuda ke nazdeek betreen dost wo hai jo apne dost ka khair khawa ho
  • jo insan aib joi karta ha logo pa awazain kasta ha uske lieye bari tabahi hai
  • jo koi Allah pa tawakal karta hai wo uske lieye kafi hota hai
  • sab se bari naiki apne doston or ham'nasheeno ki izzat karna hai
  •  sadgi iman ki ilamat hai 
  • amanat se rizaq barta hai , khayanat se iflas lazim ata hai
  • khud ko mazloom ki bad'ua se bachao is lieye ke wo khuda se haq mangta hai or khuda kisi ka haq nai rokta
  • woi momin nai hosakta jo khud ser hoker khaye or uska parosi bhooka rahe
  • naiki husn e khulaq ka nam hai or gunah wo hai jo tere dil main khalish peda kare or tu us amar ko bura samje ke log isse waqif ho jainge
  • haya iman ki aik shaakh hai
  • jo jhooti qasam khaye wo apna tikana jahanam ma samje
  • tum main ache woi hain jo apni bewio se acha salook karty hain
  • dolat kharach karte raho isko na roko warna ho sakta hai ke khuda be tum pe dolat ke darwaze band karde
  • ghana mal o dolat ki zayadti pa maqoof nai maqeeqi ghana dil ka ghana hai
  • Allah fasad karne walo ko pasand nai karta isi lieye zameen pa fasad na karo
  • sakhi gunahgar Allah ke nazdeek bakheel abid se beter hai'
  • sardar banne se pehle ilam hasil karo 
  • tmam buri khaslaton main 2 sab se bari khaslatain hain , or  wo bakheel or buzdili hain
  • jis tarha tum pa ehsan Allah ne kiya hai is tarha tum bee logon pa ehsan karo
  • us shakhas pa dozakh ki aag haram hai jo naram mizaj hai
  • sakhi Allah ka dost hai 
  • jab tumain naiki kar ke khushi ho or burai kar ke pachtawa ho to samjo tum momin ho
  • khamoshi betreen hikmat amli hai
  • ilam hasil karo khawa tumain chaina be jana pare
  • tu or tera mal tere bap ka hai 
  • jo rehem na kare wo rehhem ke qabil nai
  • apne ghar ki dewar itni oonchi na kero ke parosi ki hawa ruk jaye
  • betreen bewi wo hai jab khawand usko daikhe to phole na samaye or agar koi hukam de to foran amal kare 
  • kisi ka mal us waqat tak tum pa jaiz nai jab tak wo khushi se tumain na de
  • baaz log 60 sal tak ibadat main lage rete hain laikin jab marne ka waqat ata hai to wasseeat ke zarieye warison ko nuqsan pohncha dete hain or jahanaum ke haqdar ho jate hain
  • tum main se agar koi apne bahi se muhabbat rakhe to usko bata de ke main tum se muhabbat rakhta hoon
  • aadmi ke islam ki khoobi be'faida umoor ko chor dena hai
  • agar kisi ko kisi ne dawat dee or wo qabool na kare to usne Allah or uske Rasool SAW ki nafarmani ki
  • munafiq ko apna sardar na kaho agar aisa kaho ge to khuda ko naraz karo ge
  • momin ki zuban uske dil ke peeche rehti hai 
  • jab koi tumain dua de to tum bhi usko dua do
  • logo mai sab se bura wo hai jis ki taleem uske sharr se ki jaye
  • beter wo hai jjo dair se khafa ho or jaldi man jaye
  • dunia mai koi cheez tere pas na ho magar 4 cheezain hoon to tuje nuqsan nai , rasat-guftari, amanat, khush khalqi or halal rizaq
  • dunia halal bhi azab hai maggar yeh haram ki nisbat khafeef hai
  • amal baqadar taqat karo . khuda ki qasam Allah malool nai hota tum hee malool ho jao ge
  • jo duniawi hesuat main tuj se acha hai isko na daikh ke nashukari peda hogi

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates