Social Icons

Tuesday, 7 April 2015

Tere khushboo main base khat main jalata kesey

Tere khushboo main base khat main jalata kesey
piayar main doobe huey khat main jalata kesey
tere hathon ke likhe khat main jalata kesey
jinko dunia ke nigahon se chupaey rakha
jinko aik umar kaleje se lagaey rakha
deen jinko jinko iman banaey rakha
tere khushboo main base khat main jalata kesey
jinka har lafaz yaad muje pani ki tarha
yaad the muj ko jo bela main zubani ki tarha
muj ko payare the jo anmole nishani ki tarha
tere khushboo main base khat main jalata kesey
too ne dunia ke nigahon se jo bach ke likhey
sal ha sal , mere naam barabar likhey
kabhi din ko to kabhi raat ko uth kar likhey
tere khushboo main base kaht main jalata kesey
piayar main doobe kuey khat main jalata kesey
tere hathon ke likhey khat main jalata kesey
tere khat main aaj ganga main baha aya hoon
aag betey huey pani pa laga aya hoon

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates