Social Icons

Tuesday 31 March 2015

Ibn E Jozi RA Quotes | Aqwal E Zareen By Ibn E Jozi RA

Ibn E Jozi RA Quotes | Aqwal E Zareen By Ibn E Jozi RA


  • dunia main zindagi ki sansain bohot kam hain or qabar ki zindagi bohot taweel hai 
  • naiki is ke naseeb main aai jisne apne khawaishat ke chora or mehroom woi hi jis ne dunia ke muqable main akhirat se muh mora
  • asal kamal ilam or amal dono ko jama karne se hai 
  • talab e ilam aik aisa khazana hai , aisa na hoke tumari sans bekar ho jae or qayamat ke din apne khazane ko khali daikh kar tumain sharmindagi uthani parey
  • gor karo is diniamain hamain zindagi basar karne ke lie jo muddatt milti hai isko haqeeqat kiya hai . faraz karo aik shakhas 60 sal tak zinda reta hai to ab 3- sal iske sone main guzre 15 sal zinda reta hai 15 sal bachpan khel kood ke nazar hogae . ab waqat jo bacha wo hamare khane peene or kamane main kharach hota hai to is hayaat e abdi ke hasil karne main hamare pas kitna waqat hai or kaha hai? isi lie in qeemti lamhat ko zaya nai karna chiiey or inki ahmiat ko mehsoos karna chiey


  • qabool e dua ke lie mayoosi , ehsas e bechargi or iztirab zaroori hai, yahi waja hai ke kabhi kabi badkaro ki dua bhi qabool ho jati hai ku ke ALLAH gham zada dil ki betaab darkanain o tabani peda nai ho iska mutalia bbekar hai
  • wajdan ki ahmiat muslim hai laikin siraf is se tamam awamir o nawai ka sarchisahma nai se sakte jab tak is main rooh ki chashni shamil na ho
  • khane se bhooka or hikmat se ser reh
  • kameeno ke muhamla main khamoshi se maddad o mahawnat talab kar'
  • bare or shreer aurton se ALLAH ki panah main reh or naik arton se bhi perhez kar ke inki taraf melan ka nateeja sharr he sharr hai
  • ache logo ki suhbat ikhtiar kar is tarha tumare afhal mian inke afhal ka rang peda ho jae ga
  • bura na hona bhi naiki hai



No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates