Hazrat Usman Ghani RA Quotes | Best Quotes Of Hazrat Usman Ghani RA
Hazrat Usman Ghani RA Quotes
tahajub hai us pa jjo mout ko haq janta hai or phir bhi hansta hai
tahajub hai us pa jjo dunia ko fani janta hai or phir bhi iski rughbat rakhta hai
tahajub hai uus pa jo taqdeer ko pechanta hai magar phir bhi jane wali cheez ka gham karta hhai
ahar aankhain roshan hain to har roz roz e mehesher hai
zuban ki laghzish qadmo ki laghzish se zayada khatarnak hai
gunah ka tarak toba ki takleef se zayada asan hai
zindagi ka maqsad bana lain or phir uspa apni sari taqat saraf kardain aap zaroor kamyab honge
hayal-dar ki amal mujahideen ki amal ke sath asman pa jate han
tajaub hai uspa jo hisab ko janta hai phir bhi mal jama karta hai
tahajub hai uspa jo Allah ko manta hai or gairo ka zikar karta hai
tahajub hai uspa jo janat pa iman rakhta hai or duniya ke sath aram pakarta hai
zaya hai wo ilam jis se ilam ki bat na poochain, wo hathiar jis ko istimal na kiya jae , wo masjid jis ma namaz na parhi jaye, wo raye jisko qabool na kiya jae , wo kitab jis ki tilawat na ki jae, wo zahid jo khawaish dil main rakhe
baz auqat juram maf karna mujrim ko zayada khatarnak bana deta hai
afiat ke 9 hissa logo se alag rene main hai or aik milne main hai
tawazu ki kasrat nifaq ki nishani or adawat ka paish kheema hai
mat rakh umeed kisi se magar apne rab se, or mat darr kisi se magar apne gunah se
jis ne dunia ko jis qadar pechaana usi qadar issse be-raghbat hua
dunia ki laztain lene se aalam baki ke ajar o sawab main kami ho jati hai
logo ko jis qadar chaey azma ke daikh le sanp bichoo se kam na paye ga
ilam bagair amal ke nafa deta hai or amal bagair ilam k faida nai deta
apna boj khalwat main kisi pa na rakh , khawa kam ho ya zayada
aik perhezgar faqeeha shetan par 1000 abid se bari hai
dunia wo har kam hai jis se akhirat maqsood na ho
khamoshi gusa ka betreen ilaj hai
doosro ka boj uthana abidon ki izzat ka tamtama hai
faqeer ka aik dirham sadqa beter hai ghani ke lakh diram se
agar tu gunah karna chata hai to wo muqam talash kar jahan khuda na ho
zalimo or unke mutahalqeen ki sath muhamla na kero
janat ke ander ronaa ajeeb hai or dunia main hansna ajeeb hai
ameero ki tareef se bach ke zalim ki tareef se ghazab e ilahi nazil hota hai
Allah ko har waqat apne sath samajne afzal taree iman hai
haaya ke sath tamam naikian or behayahi ke sath tamam badian wabasta hain
babkho 3 admio ko majrooh karta ha. 1 apne ap ko , 2 jis ki burai karta hai, 3 jo iski burai sunta hai
log tumare aibo ke jasoos hain
talwar ka zakham jisam pa hota hai or buri guftar ka rooh par
barra khatakar wo hai jis ko logon ki buraion ka zaikar karne ki faraghat mili ho
hajatmad ka tumare pas aana tum pe khuda ka ehsan hai
haq pa qaim rehne wale miqdar ma kam hote hain. magar manzilat ma zayada
jab zuban islah pazeer hoti hai to qalab bhi salih hojata hai
gunah kisi na kisi soorat dil ko beqarar rakhta hai
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin