skip to main |
skip to sidebar
Hazrat Suleman AS Quotes | Famous Quotes of Hazrat Suleman AS
Hazrat Suleman AS Quotes
- meethe bol gham ko rafa karte hain
- khuda ke khof se umar ma izafa hota hai
- aik khushmizaj admi kai murda dilo ki dawa hai
- jahil apne dil main jo kuch hai zahir karta hai magar danishmand se aakhir moqa tak chupae rakhta hai
- jab insan ki rawish khuda ki marzi ke mutabiq hoti hai to wo dushman ko bhi dost bana leta hai
- apni nigah main khud ko danishmand na jan . Allah se darr or badi se baz reh
- apne hamsaya pe badi ka mansooba na band jis hal main ke wo befikar ho kar tere pass reta hai
- kisi insan se besabab jagra matt kar ke isne tuj se baddi nai ki
- shareer ki badkarian isko pakar laingi or wo apne hee gunah ki rasion main jagra jae ga
- kalam ki kasrat mai kuj na kuj gunah hoga magar wo jo apne labon ko roke reta hai bara dana hai
- hoshiar admi ka hath hukmaarn hoga or susat admi kharaj guzar hoga
- khuda ki rah seede logo ke lie tawanai or bad kirdaro ke lieye hilakat hai
- koi insan sharat se paiidar nai reh sakta laikin sadiqo ki buniad ko kabhi janbish na hogi
- dolat jo batalat se hasil ki jati hai or mehnat se faram karda barre gi
- malain jo ab gussa kho deta hai magar karakhat batain gazab angez hain
- shikasta khatir ke sab din bure hain magar wo jo khush dil hai hamesha shukar guzar reta hai
- tora jo khuda ke khof ke sth ho is bare ganj se jo ranj ke sath ho beter hai
- jo maskeen pa hansta hai goya iski banane wale ki hiqarat karta hai or jo oro ki museebat pa hansta hai begunah na there ga
- jagre ko ise pele chhor do ke taiz ho jae
- wo dil jis mai burai hai na balai pae ga or jis ki zuban main nukta cheeni hai afat main gire ga
- ghar or mal wo meeras hai jjo paap se hasil hoti hai maikin danishmand bewi nehmat e khudawandi hai
- dagha ki roti admi ko meethi lagti hai magar akhir kar iska muh kankiron se bara jata hai
- hosakta hai koi malkiat ibtida main yaklakhat hasil ho jae magar iska anjam namubarak ho
- rasti or insaf khuda ke haan qurbani se zayada pasand hai
- hoshyar admi bala ko paish beeni se daikhta hai or apne apko bachata ha magar nadan log pas se guzarte hain or saza pate hain
- jahalat larko ke dil se wabsta hai magar tarbiat ki charri ise is main se door karde gi
- bewaqoof ke kan main batain matt daal kuke bajae amal ke wo tere kalam ki tehqeer karega
- sadiq admi 7 bar girta hai or phir uthta hai magar shareer bala main gir kar para reta hai
- zahiri burai ka chupana gumani bat par ruswa karne se oola hi
- jo ke aik bewaqoof ke hath pegam bejta hai apne paon pa kulhari marta hai
Best Quotes In My Life.
ReplyDeleteFor More Quotes Visit Urduquoteslines.com