Hazrat Essa AS Quotes | Best Saying of Hazrat Essa AS
Hazrat Essa AS Quotes
safar do qisam ka hai dunia or akhirat ka , dono ke waste tosha darkar hai dunia ke safar main tosha hamra rakhna chieye or akhirat ke safar m;ain rawangi se pehle bhej dena chiey
dunia main 2 cheezain pasandeeda hai, sukhan dilpazeer or dil sakhan pazeeer
amal salih wo hai jis par logo ki sana ki umeed na rakhi jae
main murda ko zinda karne se ajiz nai hua , laikin ahmaq ki islah se ajiz agaya
99 rast bazo ki nisbat jo toba ki hajat nai rakhte aik toba karne wale gunahgar ki babat par zayada khushi hogi
aasman or zameen ka tall jana shreehat ke aik nuqta ke mitt jane se zayada asan hai
anfal gunah groor ibadat se bohot beter hai
dunia ke mal o asbab par magroor matt ho kia khabar is rat teri jan tuj se talab karli jae
jo insan apne lie khazana jama karta hi wo khuda ke nazdeek sab se zayada greeb hai or aik be-sarosaman muflis khuda ke nazdeek sab se zayada dolatmand hai
tum agar logo k qasoor maf na karo ge to Allah tumare qasoor maf nai kare ga
harmkari ke siwa kisi or sabab se apni bewio ko hargiz talaq na do
apne dushma se muhabbat rakho or apne satane walo ke lie dua mango
qasam na khao bulke tumara kalam " han han ya nai nai " ho laikin is se zayada jo hi wo baddi hai
jab tu kherat kare to tera dayan hath karta hai or isko tera bayan hath na jane
jab tum roza rakho to raya karo ki tarha apni soorat na banao taake log tumain roza dar janain jo aisa karte hai wo apna ajar paa chuke hai
jhoote nabion se khabardar raao jo tumare pas bhero ke libas ma ate hai magar batin main berey hian , inke amal se tum inko pechan loge
pak cheezain kutto ko na do or suche moti sooro ke age na dalo aisa na ho ke wo inko paon ke neeche rond dain
jow ki roti khana saf pani peena or khule meedan main sona marne wale ke lie bhot hai
tum mango tumain dia jae ga , dhoondo to pao ge , darwaza khat'khtao ge to khola jae ga
jo kuj tum chate ho ke log tumare sath karain to tum bhi unke sath woi karo kuke yahi sab nabio ki taleem hai . or khuda ki khushnoodi ka hasool ka isse beter koi zareeha nai hai
jab tum dua mango to apne kothri ma jao or darwaza band karke mang jo pooshedgi hai
khabardar apne rastbazi ke kam logo ko dikhane ke lie na kar warna teere lie koi ajar nai hai
shreer ka muqbala na kar , agar koi tere dain gal pa tamacha mare to tu dusra gal b uski taraf karde or jo tuj se qaraz chhae usse muh na pher
kisi ki aib jou na kar warna teri b aibb joi ki jae gi , jis pemane se tum napte ho usi se tumare lie napa jae ga
jis kisi ne buri khawish se kisi aurat pa nigah dali wo apne dil main iske sath zinah kar chuka
agr tere dain aankh tuje thokar khilae to usko nikal kar apne pas rakh le , yahi beter hai ke tere ahza ka ik uzzzw jata hai magar tera sara badan jahanum ki aag ma na dala jae
apne bahi se bilawaja khafa na ho
beamal alam ki misal aisi hai jese andeh ke hath main mashal log isse roshni hasil karte hain or khud roshni se mehroom hota hai
acha drakhat acha phal lata hai or bura drakhat bura phal
naik amal wo hai jo logo ki tareef ki tawaqa se beniaz hokar kia jae
mout se bar kar koi cheez suchi nai hai or umeed se barr kr koi cheez jhooti nai
apni betri ka khayal na karo bulke khuda ki khushnoodi ko afzal samjo
deen ke hasool ka zareeha na gardano yeh intihaye dinayat hai
dunia ko ishrat kada qaraar dene walo ! bohot jalad tum matam kada ke haqeeqat ko tum az khud tasleem karloge
Hazrat Suleman A.s Quotes Images
ReplyDeletewww.urduquoteslines.com