Social Icons

Sunday, 29 March 2015

Hazrat Data Ganj Baksh RA Quotes | Best saying of Hazrat Data Ganj Baksh RA

Hazrat Data Ganj Baksh RA Quotes

 

  • insaan ki bazurgi or rutbe ki bulandi mojzon se nai ismat or kirdari ki safai se hai
  • sare mulak ka bigar in 3 group ke bigarne par hai , hukmaran jab be ilam hon , alim be amal hon, or fuqara jab be-tawakul hon
  • insan ki nijat deen ke itbiah main or iski hilakat deen ki mukhalifat main hai
  • jis kam main nafsani garaz ajae usse barkat uth jati hai
  • ilam bohot hain or insani zindagi bohot tori hai. is lie tamam uloom ka seekhna insan pa faraz nai magar is had tak ilam zaroori hai jjis se amal drust ho jain
  • gafil umara , kahil fuqara or jahil darwesh ki suhbat se perhez karna ibadat hai
  • nafas ki misal shetan ki c hai or iski mukhalifat ibadat ka kamal hai
  • soofi wo hai jis ke aik hath main quran majeed or doosre hath main sunnat e Rasool SAW hai
  • fana ka mafhoom ye hai ke jahalat khasat, khawaishat or gaflat ko mitta kar ilam , taqat , zuhud or Allah ke zikar ko apnaya jae. yeh  sifar sada baki reti hai woi fana ,fana hai jiska nateeja baqaa hai
  • raza ki 2 qismain hain. bunde ka khuda se razi hona or khuda ka bunde se razi hona yaani iski har qaza or faisle pa khawa wo ata ho ya mana mutmain rena jo shakhas ata ke peeche khuda ka hath daikhta hai wo gham o musarat or mout o hayat sab ko ata samjta hai
  • tasawuf ke kai muqamat hai awal toba, dom rajoo Illah , som zuhud yani lazaat dunia se perhez or charam tawakul yaani Allah ka sahara
  • musalsal ibadat se muqam kashaf or mushaida milta hai

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates