Social Icons

Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts

Sunday 5 April 2015

In baharon pa gulistan pe hansi aai hai

In baharon pa gulistan pe hansi aai hai
dil ke har dag e frozan pa hansi aai hai

aaj phir jaam tahi or ghata uthi hai
aaj phir rehmat e yazdan pa hansi aai hai

meri beeghi hui palkon ki cham cham pa na jaa
tere toote hue peman pa hansi aai hai

jab kabhi bichra hua dost mila hi muje
muj ko ikhlas e azizan pa hansi aai hai

muj ko aik zeher ka chalka hua saghir dedo
muj ko is dore ke insan pa hansi aai hai

Ghum ke eHsAs ko palkon pe saja rehny do

Ghum ke eHsAs ko palkon pe saja rehny do,
Koi gul to mery gulshan me khila rehny do,

Thokren hi to muqadr me hain ek pathr k,
Raasty me jo para hon to para rehny do,

Saya-e-zulf ki thandak to nahi mera naseeb,
Tum mujhy dard k sholoon me ghira rehny do,

Kis ghari koi chor k duniya chal diya,
Jeeny walon k liye lab pe dua rehny do,

Main mazar k darichy me saja ek pathar hon .
Mujh ko iss dour k insan se juda rhney do.

Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya


Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya
Ab Hum Ne Rona Chor Diya..

Jub Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chor Diya..

Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye.
Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya...

Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chor Diya..

Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya

Humari Hasti Mita Rahe Ho Tumhari Marzi

Humari Hasti Mita Rahe Ho Tumhari Marzi,
Nishan-e-Ibrat Bana Rahe Ho Tumhari Marzi,

Mere Jigar Mein Jafa K Khanjar Utar Kar Tum,
Wafa K Nghmain Suna Rahe Ho Tumhari Marzi,

Tumhari Khatir Jo Sari Dunia Ko Chor Aaya,
Usi Se Daman Chura Rahe Ho Tumhari Marzi,

Meri Umeedon K Aashiane Ujar Kar Tum,
Kisi Ki Dunia Basa Rahe Ho Tumhari Marzi,

Tumhara Deedar Aik Bahisht-e-Nazar Hai Lekin,
Tum Apna Chehra Chupa Rahe HoTumhari Marzi

Wo jo log thay meray humsafar | Urdu Ghazal

Wo jo log thay meray humsafar
Meri zaat ka jo nikhar thay.

Wo jo shab-o-roz meri chah thay
Wu jo lamha bhar ka waqar thay

Na wo log hain meray pas ab
Na nikhar hai meri zaat mai..

Na wo shab-o-roz ki chah hai.
Na wo lamha bhar ka waqar hai.

Bus zindagi hai be-naam si
Kabhi subh si kabhi shaam si.

Har Ghari Dard Ki Shiddat Se Sisakti Aankhain

Har Ghari Dard Ki Shiddat Se Sisakti Aankhain
Or Uper Se Tere Wasl K Khwabon K Azab.

Rooz Aangan Mein Khare Perr Se Girte Patte.
Aur Sar-e-Sham Parindo'n Pe Guzarti Aafaat.

Nabz Aur Dil Ki Baghawat Se Tarapti Hai Hayat.
Iss Bhare Shehr Mein Barhta Hua Logon Ka Qehat.

Roz Hoti Hay Mere Sath Deewaron Ki Jharrap.
Rooz Ek Sans Ko Phansi Ki Saza Milti Hai.

Ab Aa Ja K Tery Hijar K Qaidi Ko Yahan.
Roz Iss Shehar Main Marnee Ki Dua Milti Hai.

Ya aansoo ye Gham kam nahi Hongy

Ya aansoo ye Gham kam nahi Hongy…

ye Yaaden Ye Lamhe Har pal Nahi Hongy…

Bitaa Liya Karo Kuch Pal Hans K Hmare Sath…

Bht Yaad Kro gay Jab hum nahi hoon gay…

Boht Roye Wo Hamare Pas Sad Urdu Poetry

Boht Roye Wo Hamare Pas
Aa K Jab Ehsas Hua Unhen
Apni Ghalti Ka..


Chup krwa Dete Hum
Agar Chehre Pe Hamare
KAfan Na Hota…

Muhabbat Hum Nay Ki Jo Khataa Ho Gai,


Muhabbat Hum Nay Ki Jo Khataa Ho Gai,
Ki Wafaa Aur Zindagi Sazaa Ho Gai.

Wafaa Kartay Rahay Hum Ibadaton Ki Tarha,
Phir Ibadat Khud Ek Gunah Ho Gai.

Kitna Suhana Tha Safar Jab Saath Thy Hum
Phir Kiya Huwa Jo Manzil Judaa Ho Gai.

Koi Chahat Koi Hasrat Koi Umeed Na Rahi,
Tu Gaya To Laga Duniya Fanaa Ho Gai.

Ye Duaa Ki Kay Jisay Chahay Wo Milay Tujhe,..
Par Ye Duaa Apnay Liye Bad-Duaa Ho Gai.

Abhi Kuch Dair Hoi Usay Yaad Kartay Huway.
Ye Aaj Kyun Itni Jaldi Subha Ho Gai.

Rooh be-chain dil udas bohat hay

Rooh be-chain dil udas bohat hay
Bujh gai hy shama-e-umed or aas bohat hay
.
Ye dard-e-judai ye hijr k lamhe
Ye fikr ka mosam mjhe raas bohat hay

Smandr k kinare betha hun magr phir bhi
Sookhe hen mere hont or pyas boht hay

Diye jb gham to kuch na socha usne
Ujar gye hm to usy ab ehsas bohat hay.

Dar Badar Ho, Sar-e-Baazaar Mohabbat Karlo

Dar Badar Ho, Sar-e-Baazaar Mohabbat Karlo,
Roz Marna Hai Tau Phir Yaaar Mohabbat Karlo,

Haalat-e-Zaar, shab-e-Ghum B, Laal Aankhein B,
Sab Samajh Jao Gay, Ik Baar Mohabbat Karlo,

Khud Kushi K Liye Marna, Koi Laazim Tau Nahin,
Zindagi Se Jo Ho Bayzaar Mohabbat Karlo,

Shaikh Kehtay Hain Namazein Parho Sajday B Kro,
Hum Ye Kehtay Hain Gunahgaar Mohabbat Karlo,

Is Qadar Raaat Gaye, Shab Sawaal Krti Hai,
Tum Se Kis Ne Kaha Tha Yaaar Mohabbat Karlo...

*************

Wo nazar se door to hai magr

Wo nazar se door to hai magr
Ye Ajeeb Sorat_e_Haal hay,

Hama-Waqt
pesh_e_Nazar
bhi hay'
Na firaaq hay'
Na WisaaL hay,

Teri Yaad me howa jb se gum'
Tere Gum-Shuda
ka Ye Haal hay,

Na D0or hay
Na Qareeb hay'
Na hi Sh0q hay
Na WisaaL hay,

Ye TUMHARi talakh NuwaiYaan koi 0r seh k Dikha to de,

Ye j0 Mujh mein
Tujh me nibha hay'
Mere Hosle ka kamal hay,

Jo guzr rhi hy guzar lo'
Na bura kaho
Na gila kro,

Jo Tumhara Haal hy D0sto'
Wohi sare Shehr ka Haal hay,

Tere Mashware k Khal0os pe Mujhe
Tark-e-Eshiq qabol hay,

Mgr aik bat hy Hum-Nasheen'
Meri Zindagi ka Sawaal hay.
...................
*************************************

Hurf-e-Duaa Likh Raha Tha | Sad Ghazal

Woh Pani Ki Lehron Pe Kia Likh Raha Tha,,

KHUDA  jaane
Hurf-e-Duaa
Likh Raha Tha,,

Likha Tha jisne Wafa K  Maani Adhuray,,

Wo Shakhs Piyar Ki intiha Likh Raha Tha,,

Zara Uski Aankh Se  Ek Ansoo Na Nikla,,

Wo jis Waqt
Lafz-e-Saza
Likh Raha Tha,,

Mohabbat Main Nafrat Mili Thi Ussay,,

Woh Har Shakhs Ko Be-wafa Likh Raha Tha,,

Is Qadar
Zamane Waalo Ne
Usko Sataya,,

Wo pyar  K
 jazbay ko Gunah
Likh Raha Tha.

Saaz-E-Tamnaa Soz-E-Zindagi Liye Phirta Raha


Saaz-E-Tamnaa Soz-E-Zindagi Liye Phirta Raha,,,,,
Andhairy Mein Jugnoo Sy Roshni Liye Phirta Raha,,,,,

Usy To Sitaaron K Dais Mein Jana Tha,,,,,
Main Apny Daman Mein Chandni Liye Phirta Raha,,,,,

Us Takhat Nasheen Ko Apni Gaddi Sy Payar Tha,,,,
Dil Maira Musaafir Musaafiri Liye Phirta Raha,,,,,

Bhary Chishmon Sy Phooty Thy Piyas K Silsily,,,,,
Jab Main Mar Gaya Wo Paani Liye Phirta Raha,,,,,

Koi To Utry Ga Mairy Ghar K Zeeny Sy,,
Umer Bhar Ye Khoosh Fahmi Liye Phirta Raha......!!!!!

K0ocha_E_Yaar B Sun'Saan Nazar Aata Hai

K0ocha_E_Yaar B Sun'Saan Nazar Aata Hai..

Ehl_E_Dil aj Preshan Nazar ata Hai

Ay Gham_E_
Jaan_E_Jahan D0or Chala Ja Mujh Se

Tujhe Bas Mera Girebaan Nazar ata Hai

Tujh Se Pehle To Mera Ghar Meri Dunya Thi Mgr

Ab Mujhe Ghar Mera Veraan Nazar ata Hai

Zindagi Ab Tere Kis Pal Pe Bharosa Kr L0on

Tu B Kuch Waqat Ka Mehmaan Nazar ata Hai

Aaj Kal Log Mujhe Dekh Kr Kehte Hain

JAAN Bhi Hai
Magar Be_Jaan
Nazar Aata Hai....!

Husn Jab La-Jawab Tha, So Tha, | Sad Poetry

Husn Jab La-Jawab Tha, So Tha,
Aur Us Par Hijab Tha, So Tha,

Zindagi, Zaindagi Hi Thi, So Thi,
Aur Jeena Azaab Tha, So Tha,

Hum Agar Thay, Faqat Humee'n To Na Thay,
Ek Zamana Kharab Tha, So Tha,

Tum Pay Aana Tha Dil, So Aa Hi Gaya,
Haaye ! Andha Shabab Tha, So Tha,

Apni Wehshat Ka Haal Kya Kehiye,
Dasht Bhi Aab Aab Tha, So Tha,

Hum Bhi Khana-Kharab Thay So Thay,
Wo Bhi Khana-Kharab Tha, So Tha,

Ab Yahan K Nawab Hum Hi Hain,
Lucknow Ka Nawab Tha, So Tha

Dekh ! Peeny Ki Mashq Kar Zahid,
Tark-e-May Ka, Sawab Tha, So Tha

Kuch Jo Poocha Dasht K Baaray Mein,
Kehtay Hain Wo, Janab Tha, So Tha ..

kiya kr Ehtraam SHEESHAY ka | Sad Poetry


kiya kr Ehtraam SHEESHAY ka
Tera chehra hai Ghulaam SHEESHAY ka

Sub khaamiyan khubiyan hai bata daita
Kon smjhay Muqaam SHEESHAY ka

Sahib-e-zar k paas pathar hain
Meray sheher mein hai Nizaam SHEESHAY ka

Bhool kr b paaun k neechay rond na dena
Bara sakht hai Inteqaam SHEESHAY ka

Suno khayaaL rakhna
ek thokar se t0ot jaey ga
Mera dil hai Tamaam SHEESHAY kä,,
..................

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon,

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon,
Tujh Se Agay Ka Safar Dekh K Dar Jata Hoon,

Roz Dhalte Huye Sooraj Ki Tarha Shaam Gaye,
Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hoon,

Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi,
Main Bhi Raton Ko Zaraa Dair Se Ghar Jata Hoon,

Main Ne Bhi Jurm-e-Baghawat K Sitam Jhailey Hain,
Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hoon,

Chal Para Hoon Main Zamane K Asoolo'n Pe
Main Bhi Ab Apni Baton Se Mukar Jata Hoon..
....................
 
 
Blogger Templates