tere bagair sard mosmon ke khushgawar din udas hain
fiza main dukh racha hua hai!
hawa koi udas geet gunguna rahi hai
phool ke labon pa payas hai
aisa lagta hai
hawa ki aankhain rote rote khushk ho gai hoon
saba ke dono hath khali hain
ke sher ma tera kaheen pata nai
sans lena kis qadar mahal hai
udasian---- udasian
tamam sabaz sayadar perro ne
tere bagair wahshaton main apne perhen ko tar tar kardia hai
ab kisi shajar ke jisam pa qaba nai
sookhe zard pate
koo ba koo teree talsh main bhatak rahe hain
udasian----udasian
mere dareechon main gulabi dhoop roz jhankti hai
magar ab us ki aankhon main
wo jagmaga-hatain nai
jo tere waqat main zameen e sabeeh mathe par
soorjon ke kehkashan sajane aati theen
zameen bhi meri tarha hai!
tere bagair iski kookh se bhi ab
koi gulab ugg ba paye ga
zameen banj ho gai hai
or meri rooh ki bahar afreen kokh bhi!
meri soch ke sadaf main
fan ke sache mouti kis tarha janam lia karain
ke main sarapa tishnagi hoon
or door door tak----- wasal e abar ki khabr nai
mere or tere darmian
panch panion ke dais hain
main sher kis tarha kahoon
meri soch ke badan ko too nami to de
main tere bagair west lend hoon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin