Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la de,
mere baazu, meri aankhein, mera chehra la de.
Aisa dariya jo kisi aur samundar mein gire,
iss se behtar hai ki mujh ko mera sehra la de.
Kuchh nahin chahiye tujh se aye meri umar-e rawaan,
mera bachpan, mere jugnu, meri gudiya la de.
Naya mausam meri beenaai ko tasleem nahin,
meri aankhon ko wohi khwaab puraana la de.
Jis ki aankhein mujhe andar se bhi padh sakti hon,
koi chehra toh mere shehar mein aisa la de.
Kashti-e jaan toh bhanwar mein hai kayi barson se,
aye khuda! ab toh dubo de ya kinaara la de. !!
.......................
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin