Social Icons

Friday 17 April 2015

dil main or to kiya rakha hai | Nasir Kazmi

dil main or to kiya rakha hai
tera dard chupa rakha hai

itne dukhon ki taiz hawa main
dil ka deep jala rakha hai

dhoop se cheron ne dunia main
kiya andhera macha rakha hai

is nagri ke kuch logon ne
dukh ka nam dawa rakha hai

wahda yaar ki bat na chero
yeh dhoka bhi khaa rakha hai

bhool bhi jao beeti batain
in baton main kiya rakha hai

chup chup kiyon rete ho nasir
yeh kiya rog laga rakha hai

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates