Social Icons

Wednesday 8 April 2015

dil hee to hai na sang e wahshat , dard se bhar na aye kiyoun

dil hee to hai na sang e wahshat , dard se bhar na aye kiyoun
roin ge hum hazar bar koi hamain sataey kiyoun

dare nai haram nai dar nai aastan nai
bethe hain rahguzar pa hum , ghair hamain uthaey kiyoun

qaid e hayaat o band e gham asal main dono aik hain
mout se pehle admi gham se nijat paye kiyoun


han wo nai khuda parast jao wo bewafa sahi
jis ko hon deen o dil aziz us ki gali main jae kiyoun

Ghalib khasta ke bagair kon se kam band hain
roye zar zar kiya ? kijieye haye haye kiyoun?

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates