Social Icons

Showing posts with label Amjad Islam Amjad. Show all posts
Showing posts with label Amjad Islam Amjad. Show all posts

Saturday 4 April 2015

kisi ki ankh jo purnam nahi hai | Amjad Islam Amjad

kisi ki ankh jo purnam nahi hai.
na samajho ye ke us ko Gham nahi hai.
savad-e-dard main tanha khara hun.
palat jaun magar mausam nahi hai.
samajh main kuch nahi ata kisi k.
agarche guftagu mubham nahi hai.
sulagta kyun nahi tarik jangal.
talab ki lau agar maddham nahi hai.
ye basti hai sitam parvar digan ki.
yahan koi kisi se kam nahi hai.
kinara dusara dariya ka jaise.
vo sathi hai magar mahram nahi hai.
dilon ki raushani bujhne na dena.
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai.
main tum ko chah kar pachta raha hun.
koi is zaKhm ka marham nahi hai.
jo koi sun sake Amjad to suna dena.
ba-juz ek baz gasht-e-Gham nahi hai...

Bheerh Main Ik Ajanabi Ka Samna Acha Laga.

Bheerh Main Ik Ajanabi Ka Samna Acha Laga.
Sab Se Chup Kar Vo Kisi Ka Dekha Acha Laga.
Surmai Ankhon Ke Niche Phool Se Khilane Lage.
Kehte Kehte Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga.
Baat To Kuch Bhi Nahin Thi Lekin Us Ka Ek Dam.
Haath Ko Honthon Pe Rakh Kar Rokna Acha Laga.
Chaye Me Chini Milana Us Ghari Bhaya Bahut.
Zer-E Lab Vo Muskurata Shukriya Acha Laga.
Dil Main Kitane Ahad Bandhe The Bhulane K Use.
Wo Mila To Sab Iraade Torna Acha Laga.
Beirada Lams Ki Wo Sansani Pyari Lagi.
Kam Tawaj'jo Aankh Ka Wo Dekhna Acha Laga.
Nem Shab Ki Khamushi Main Bhigati Sarkon Pe.
Kal Teri Yaadon Ke Jaalo Main Ghumna Acha Laga.
Us Uduu-E-Jaan Ko "Amjad Main Buraa Kaise Kahoon.
Jab Bhi Aaya Saamane Wo Bewafa Acha Laga.

Labon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pahle

Labon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pahle.
Dilon K Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle.
Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata.
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle.
Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The.
Yahi Sooraj Nikalta Tha Tumhare Baam Se Pahle.
Hoi Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut-Te Honge.
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle.
Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak.
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle.
Hua Hai Wo Agar Munsif To "Amjad Ahtiyatan Hum.
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle.

Roshan Hui Usi Sy Usi Se Bikhar Gai | Amjad Islam Amjad

Roshan Hui Usi Sy Usi Se Bikhar Gai,,

Shabnam Ko Aaftaab Se Nisbaat Aajeeb Thi,,

Khirki Main Aaky Chand Ne Jhapki Nahi Palak,,

Kal Shab Mery Makaan Main Sibhat Aajeeb Thi,,

Ek Pal To Jesy Sara Badan Sun-suna Uthaa,,

Us Sar Siri Nigha Main Daawat Ajeeb Thi,,

Sahil Pe Thy To Reet Ka Jadu Tha Har Tarf,,

Kashti Chali To Beher Ki Dheshat Ajeeb Thi,,

Aanso Diye Par Aankh Ko Rony Ki Kho Na Di !

A Baadsh_e_Gahm Teri Enaayat Ajeeb Thi,,

Dil Main Na Reh Saky Kahen Jo Kahi B jaye..

Amjad,Shikast_e_Dil Ki Hikayat ajeeb thi.
........

 
 
Blogger Templates