kisi ki ankh jo purnam nahi hai.
na samajho ye ke us ko Gham nahi hai.
savad-e-dard main tanha khara hun.
palat jaun magar mausam nahi hai.
samajh main kuch nahi ata kisi k.
agarche guftagu mubham nahi hai.
sulagta kyun nahi tarik jangal.
talab ki lau agar maddham nahi hai.
ye basti hai sitam parvar digan ki.
yahan koi kisi se kam nahi hai.
kinara dusara dariya ka jaise.
vo sathi hai magar mahram nahi hai.
dilon ki raushani bujhne na dena.
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai.
main tum ko chah kar pachta raha hun.
koi is zaKhm ka marham nahi hai.
jo koi sun sake Amjad to suna dena.
ba-juz ek baz gasht-e-Gham nahi hai...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin