Monday, 13 April 2015
Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhanay Wala
Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhanay Wala
Wahi Andaaz Hai Zaalim Kaa Zamaanay Wala
Ab Isay Log Samajhate Hain Giraftaar Meraa
Sakht Nadim Hai Mujhe Daam Main Laanay Wala
Kyaa Kahain Kitane Maraasim The Hamaare Us Se
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaanay Wala
Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saary Duniyaa
Aaj Tanhaa Houn To Koi Nahi Aanay Wala
Muntazir Kis Kaa Houn Tooti Hoe Dahaleez Pe Main
Kaun Aaye Gaa Yahan Kaun Hai Aanay Wala
Main Ne Dekhaa Hai Bahaaroun Main Chaman Ko Jalte
Hai Koi Khwaab Kii Taabeer Bataanay Wala
Kyaa Khabar Thi Jo Meree Jaan Main Ghulaa Hai Itnaa
Hai Wahi Mujh Ko Sar-E-Daar Bhi Laanay Wala
Tum Taqalluf Ko Bhi Ikhalaas Samajhate Ho 'Faraz'
Dost Hotaa Nahain Har Haath Milaanay Wala
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin