Hatim tai se kisi ne poocha kiya too ne apne aap se ziada himat wala is dunia main daikha yaa suna hai? to apne jawab dia ke han aik din main ne umara e arab ki dawat ke lie 40 oont ( camel) zabah kiey or kisi zaroorat se jangal main gaya wahan aik lakarhara daikha jo lakrion ka gatha jama kar raha tha main ne kaha too hatim tai ke mehmannawazi main kiun nai gaya jo har khas o am ke lie hai to us lakar-hare ne jawab dia ke " jo koi mehnat ka khata hai hatim tai ka ehsan nai uthata"
is hikayat se insan ko khuddari ka dars milta hai fiqar o faqa ki halat main aam admion se darkhawast karna khuddari ke munafi hai Islam ne iski mukhalifat ki hai jo mohtaj ho kar apni zaroiat faqat ALLAH ke samne paish kare wo usko beniayaz karta hai
Hikayat e Saadi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
We feel pleasure to come on this blog
Thank you
Admin