Social Icons

Tuesday 21 April 2015

har ghari raigan guzarti hai

har ghari raigan guzarti hai
zindagi ab kahan guzarti hai

dard ki sham ... dakhit e hijran
soorat e karwan guzarti hai!!

ajab guzarti hain bijlian dil par
subh atish bajan guzarti hai

zakham pehle mehekne lagte the
ab hawa be nishan guzarti hai

apni galion se aman ki khawaish
tan pa orhhe dowan guzarti hai

muskuraya na kar ke Mohsin par
yeh sakhawat garan guzarti hai

No comments:

Post a Comment

We feel pleasure to come on this blog

Thank you

Admin

 
 
Blogger Templates